Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

Kisi ko alwida kehna

Kisi ko alwida kehna.

Bht takleef deta he.

Umeeden toot jati hen.

Yaqeen pe be-yaqini ka 
kohar kuch aisa charhta he.

Dikhai kuch nhi deta,
 sujhai kuch nhi deta.

Dua k lafz honton pe 
musalsal kapkapate hen.

Kisi khwahish k andeshe.

Zehan min dor jate hen.

Guman kuch aise hota he.

K jese mil na paen ge.

Ye gehre zakham furqat k
 kisi se sil na paen ge.

Kabhi aisa bhi ho ya Rab.

Duaen man leta he.

Tu koi mojza kar de, 
tu aisa kar bhi sakta he.

Mere hathon ki janib dekh
 inhen tu bhar bhi sakta he.

Judai ki ye teekhi dhaar 
dilon ka khoon karti he.

Judai ki aziyat se.

Mera dil ab bhi darta he.

Judai do ghari ki ho to
 koi dil ko samjhaye.

Judai chaar pal ki ho to
 koi dil ko behlaye.

Judai umar bhar ki ho.

To kia chaara kare koi.

K ik milne ki hasrat min
 bhala kab tak jiye koi.

Mere mola karam kar de
 tu aisa kar bhi sakta he.

Mere hathon ki janib dekh, 
inhen tu bhar bhi sakta he.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...