Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

Us ne kaha tha.

Us ne kaha tha.

Tum wo shajar ho.

Jis ki shakhen tapti dhoop min.

Shabnam shabnam,
 saya saya phel rahi hen.

Jese zat ki pehnai ho.

Us ne kaha tha.

Tum wo shajar ho.

Jis k patton ki shadabi, 
soondhi khushbu.

Mosam-e-gul ka sarmaya he.

Jese khwab ki renai ho.

Tum wo shajar ho
jis ki jaren itni gehri hen.

Jese rooh ki gehrai ho.

Us ne kaha tha.

Ye to gaye din ki baten hen.

Patjhar se pehle ki baten.

Ab to zeest ki aik aik sa’at, 
aik aik lamha.

Dasht-e-janoon min 
tanhai ka bojh uthaye.

Ane wale rahgeron se puch raha he.

Ye mosam kab tak badle ga.

Kab tak he mosam badle ga….?



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...