Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 1, 2013

Tanhai ka dukh gehra tha.

Tanhai ka dukh gehra tha.

Min darya darya roya tha.

Ik lehar hi nhi sambhli warna.

Min toofan se khela tha.

Tanhai ka tanha saya.

Der se mere sath laga tha.

Chor gaye jab sare sathi.

Tanhai ne sath diya tha.

Sookh gai jab sukh ki dali.

Tanhai ka phool khila tha.

Tanhai min yad Khuda tha.

Tanhai min khof-e-Khuda tha.

Tanhai mehrab-e-ibadat.

Tanhai manbar ka diya tha.

Tanhai mera paya-e-shikasta.

Tanhai mera rasta dua tha.

Wo jannat mere dil min chupi thi.

Min jise bahir dhoond raha tha.

Tanhai mere dil ki jannat.

Min tanha hon, min tanha tha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...