Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 31, 2012

Tere Lafzon Ki Tarap

Har Rooz Intizaar Hota Hai
Tujh Se Baat Karne Ka
Main Roaz Beth Jata Hon Jaldi Se
Sab Kam Khtam Kar Ke Tere Liye
Rooz Doob Jata Hon Main
 Gehari Sochon Mein Tera Hath Thame Hoye
Jo Tera SMS aata Hai GOOD MORNING Ka
Tu Patta Chalta Hai Main ONLINE Hon
Hai Nasha Tere Khumar Ka
Aaj Tu Had Ho Gayi Intizaar Ki
Pehlay Light Na Thi Meri Phir Tum Busy
Aise Hi Din Guzra Or Hui Boriyat
Koi Haal Na Tha Aaj Ke Din Ka
Aaj Tou Be Hadd Yaad Aa Rehi Hai
Kyun Mujhe Tou Apne Pass Bula Rehi Hai
Tou Janti Hai Main Beqarar Hon
Boht Ajeeb Haal Hai Mere Dil Ka
Nazim Ye Log Khoob Jante Hain
 Tere Lafzon Ki Tarap
Hon Main Samne Sab Ke
 Koi Tu Naam Do Mere Pyar Ka
( Nazim Ali )




Wednesday, August 29, 2012

Tahandi Hawa Or Teri Yaad

Raat Gehari Raat Tahandi Hawa Or Teri Yaad
Tanhaa Chand Geeli Chath Tahandi Hawa Or Teri Yaad
Awargi ' Ankhein Bheegi ' Dil Mein Ho Bass Tum Hi Tum
Bechani ' Tarap ' Khawahish ' Tahandi Hawa Or Teri Yaad
Taaron Ke Jhumat Chand ke Ird Gird Par Tanhaa Chand
Meri Sadaein ' Gehari Raat ' 
Thartharata Jism Tahandi Hawa Or Teri Yaad
Pichli Raat Chalta Rahaa Chatth Pe Main Bardi Dair Tak
Aaya Na Sakon Nikalay Ansu,
 Meri Qismat Tahandi Hawa Or Teri Yaad
( Nazim Ali ) 

Monday, August 27, 2012

Kon Aise Ghar Mein Rehta Hai

Tere Naam Ki Khashbo Mere Sath Safar Mein Rehti Hai
Tou Mujh Mein Basti Hai ' Meri Ankhon Mein Dikhti Hai
 Tera Nasha Sa Rehta Hai
Kya Kahon Main Ahle Mohabbat Walon Ko 
Sab K Sab Khokhlay Jazzbay Rekhte Hain
Is Dor Mein Wohi Shakhas Mohabbat Krta Hai
 Jo Hathon Se Khali Rehta Hai
Pani Mein Roz Uttartay Dekhta Hai Chand Ko
 ' Us Se Nai umeedein Bi Rekhta Hai
Aglay Din Jo Chalta Hai Use Pane K Liye 
Baton Mein Lakhon Fasanay Rekhta Hai
Ek Khawab Jo Ankhon Mein Gashat Krta Hai Apna Bi Ni Hota
 Is Se Kya Lehar Si Dil Uthti Hai ' Ek Nasha Sa Rehta Hai
Nazim Jo Pard Pe Likhi Jati Hain ' Jo Gheli Reat Se Banta Hai 
Kon Is Tehareer Ka Waras Hai ' 
Kon Aise Ghar Mein Rehta Hai
 ( Nazim Ali )


Friday, August 24, 2012

Yeh vaada hai


Hmm mmm mmm...kasam hain


La la la la....yeh mera pyaar, meri kasam hai
Yeh vaada hai, yeh mera pyaar, meri kasam hai
Kasam yeh sanam naa toote
Kabhi zindagi mein naa yeh saath chhute
Voh ho bewafaa jo mohabbat mein roothe
Kaho naa


Yeh vaada hai, yeh mera pyaar meri kasam hai
Kasam yeh sanam naa toote


Kabhi zindagi mein naa yeh saath chhute
Voh ho bewafaa jo, haan


Mohabbat mein roothe


Pyaar ka yeh mausam yun chhaa gaya hai dilon mein apne
Khil gaye phoolon mein yeh tere armaan, yeh mere sapne


Kahin aisa naa ho


Ae hey hey


Yeh sapne ho jhoothe


Ae hey hey hey


Voh ho bewafaa jo mohabbat mein roothe


Yeh vaada hai, yeh mera pyaar, meri kasam hai


Kasam yeh sanam naa toote


Naam do hain apne ek jaan hai, jaanliya hai
Naino ki dori se humne tumko baandh liya hai


Yeh bandhan hamaara naa marke bhi toote


Voh ho bewafaa jo, haan


Mohabbat mein roothe


Yeh vaada hai


Yeh mera pyaar, meri kasam hai


Kasam yeh sanam naa toote


Kabhi zindagi mein naa yeh saath chhute
Voh ho bewafaa jo


Mohabbat mein roothe
Yeh vaada hai, yeh mera pyaar, meri kasam hai


Kasam yeh sanam naa toote


Ae hey, o ho ho ho ho
 
 

Yahan Pyar Nahi Hai


Thursday, August 23, 2012

Na ghamo k geet suna kro

Na ghamo k geet suna kro,
Na kisi ki yaad mein jala kro,

Ab chor do ye udasiyaan,
Mere dost khush raha kro,

KHUDA na kre kisi ko juda,
Hath uthao to ye DUA kro,

Nhi bhaata Tera udas chehra,
Mere dost na preshan hua kro,

suna hy k mante ho Kisi khas ki baat,
Us khas ki khatir hi hanste raha kro.

Sunday, August 19, 2012

Jab tumhara koi na bane

Jab udas ho to gunguna lena
mujhko..


Jab tumhara koi na bane to
apna bana lena mujhko..


Kabhi agar socho k tum se
ziyada tumhen kon chahta hai..


To apne naam k sath phir se
dohra lena mujhko..


Hansne k liye to mil jayen ge
hazaron tum ko..


Jab rone k liye na mile koi
kandha to bula lena mujhko..

koi usko bata de..

Khuda ik pal usay mera bana de..


Itna chahta hun usay koi usko bata de..


Bohat naaz hai mujhe apni
muhabbat par..


Ho jaye wo mera aiasa koi mojza dikha de..


Agar wo mera naseeb ban nahi sakta..


Uske kadmon ki khak mujhe bana de..

Saturday, August 18, 2012

Mehki saanso main mujhe utar janay do..

Baahon main teri ajj bikhar janay do..

Mehki saanso main mujhe utar janay do..

Raat tanha or sard mosam hai 
ajj apni saanson main mehak janay do..

Shoq nazrOn ko sharam aati hai..

Thartharatay lab ko lab se sil janay do..

Bikhri huye gaisuu bikhra hua kajal hai..

Ajj rooh ko rooh main samaa janay do..

Raat thori arman dil main baqi hain..

Ajj bahOn main hi teri Raat ko kat janay do.. 


abi kal ki bat hai

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai,


Tum hum pe mehrban thy abi kal ki bat hai,


Wo din b thy k hum hi tmhari
zuban py thy,


Mozoe dastaan thy abi kal ki
baat hai,


Ae karwan e husn o ishq tm ko yad ho shaid,


Hum meere karwan thy abi kal ki bat hai,


Kuch hadson se gir gae Anjum zameen per,


Hum rashk e aasman thy abi kal ki baat hai...


Ajib dastan hoti he dosti ki
Larna milne se b acha lagta he..



Lar k manane wale b hote hen kuch
To kuch ko chirhana acha lagta he


Dost k muh se kuch sunne k liye Kabhi jhuk jana bhi acha lagta he..



Safar train ka ho ya zindagi ka Khatm hi nai hoti batin

Phir b khamosh reh kar muskrna acha lagta he

4 dosto me lagta he mil gai puri duniya

Baki sab bhul jana acha lagta he

Yaro hmesha 7 rahna

Yar tumhara yarana acha lagta hy.

Na kisi ki yaad mein jala kro

Na ghamo k geet suna kro,
Na kisi ki yaad mein jala kro,

Ab chor do ye udasiyaan,
Mere dost khush raha kro,

KHUDA na kre kisi ko juda,
Hath uthao to ye DUA kro,

Nhi bhaata Tera udas chehra,
Mere dost na preshan hua kro,

suna hy k mante ho Kisi khas ki baat,
Us khas ki khatir hi hanste raha kro.

Chalo aao phir kisi DIN

~Chalo aao phir kisi DIN
~MULAQAT kr k dekhen

~Beeti hui baaton ko phir YAAD kr k dekhen

~Kuch GHAM b bhool jayn
~Kuch DURIAN b km hon
~Ik SHAM 1 dusray k NAAM kr k dekhen

~Jo reh gai thi DIL men
~Jo TUM ko thi batani
~Phir milay na milay moqa
~Wo BAAT kr k dekhen

~Yoon baaton hi baaton men wo baat b ho jaye
~Jis BAAT men wo baat ho
~Wo BAAT kr k dekhein

~Chalo aao phir kisi din MULAQAT kr k dekhen... 


Friday, August 17, 2012

Dasht-e-darya

Dasht-e-darya k ye us paar kahaN tak jaati,


Ghar ki deewar thi, deewar kahaN tak jaati,


Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,


Hijr me hasrat-e-deedar kahaN tak jaati,


Thak gaye hont tera naam bhi lete lete,


Aik hi lafz ki takraar kahaN tak jaati,


Tu bohat door bohat door geya tha mujh se,


Meri Aawaz mere yaar kahaN tak jaati,


Har taraf hussn k bazaar lagay they..


Meri chashm-e-kharidar kahaN tak jaati...!

"AGAR HO SAKE TO"

"AGAR HO SAKE TO"
Mujhe Apni AANKHON
Main Rakh Lena,

AANSOO Ban Kar Beh Jaon to,
HATHON Main Chupa Lena,


"AGAR HO SAKE TO"
Mujhe "HAWAON" Main Bikher
Dena,

Tumhein "CHOO" Kar chala jaon to,
Mujhe "MEHSOOS"Kar Lena,


"AGAR HO SAKE TO"

Mujhe Ek "PHOOL" Samajh Lena,
MaR Bhi Jaon to "KITABON"
Main Rakh Lena,


"AGAR HO SAKE TO"

Mujhe Apni "KHAWAHISH"
Samajh Lena,

Kabhi Jo "MIL" Na Paon to,
Mujhe Apni "DUAAON"
Main Rakh Lena. 

 

Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Huwa

Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa,

Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Huwa

Khaak Hi Kar Diya Phir Khaak Nashino Ne Mujhe,

Khaak Ka Saara Safar Khaak Mere Baad Huwa,

Saamne Mere Jise Baat Nahi Aati Thi,

Woh Bhi Sunta Hoon Ke Chalaak Mere Baad Huwa,


Jab Mere Saath Tha Logon Se Dara Rehta Tha,

Log Kehte Hain Ke Be'Baak Mere Baad Huwa,


Woh Mujhe Chhor Ke Khush Baash Nahi Reh Sakta "Qateel",

Aur Usko Bhi Yeh Idraak Mere Baad Huwa...

Be-fiker Hum B Nahi Hain

Suna H Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hy,


Usay Kehna Be-fiker Hum B Nahi Hain.


Suna H Wo Gumsum Rehta Hy,


Usay Kehna Hosh Me Ham B Nahi Hain.


Suna H Wo Ratoon Ko Jaga Karta Hy,


Usay Kehna Sotay Ham B Nahi Hain.


Suna H Wo Chup Chup K Rota Hy,


Usay Kehna Hanstay Ham B Nahi Hain.


Suna H Wo Mujhe Yaad Bohat Karte Hy,


Usay Kehna Bhoolay Ham B Nahi Hain.


Suna H Us ne Wafa Ka Daawa Kiya H,


Usay Kehna Be-wafa Ham B Nah Hain..

QiSMAT Se MiLa Karte Hain...

KhareeD Sakte
To Usey Apni
Zindagi Bech
Kar B KhareeD
Letey



Par Kuch Log
QEEMAT Se Nai
QiSMAT Se MiLa
Karte Hain...

Dil kal bhi apna dukhta tha

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai


Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai


Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein


Kabhi waqt mile toh aa jana dil kadarwaaza khula aaj bhi hai


Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par


Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai


Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi


Dil gham ka maara kal bhi tha aurgham ka maara aaj bhi hai


Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai


In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai


Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila


Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera wirssa aaj bhi hai 


 

 

dekho toh sahi

Kitne din beet gaye hai dekho toh sahi,
Kitne chiragh bujh gaye hai dekhotoh sahi.

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya,

Khizaan ek bar phir aagaye hai dekho toh sahi.

Kitni chahat se likhti thi mein naam tumhara,

Woh qalam hi tod diya hai zara dekho toh sahi.

Itni asaani say toh milti nahi nafrat bhi lekin,

Tumne hasil shuda pyaar thukra diya dekho toh sahi.

Anchal mein apne chupaye thay moti bohat,

Ab ke zabt tutne se saylab ravanhai dekho toh sahi.

Ana rokti hai mujhay har bar jhuknay se magar,

Kitni bar tumne jhukaya hai dekho toh sahi.

Faqeer ban kar tere kuchay meinaakar nasir,

Kitni aas se dekhte hai tumhain dekho toh sahi

Neend


Thursday, August 16, 2012

magar anjan bana rehta hy

Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,

Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,

Koi muntazi hy uska kitni shiddat se,

Wo janta hy magar anjan bana rehta hy.

Khanakti hai kyun Meri Chooriyan ?

wo kehti hai
Tujhe Dekh ke Khanakti hai kyun Meri Chooriyan ?
aur hum kehte hai
Inhe Mujhse Pyar Hai

hum poochte hai
Teri Tasveer Saaji hai DIL ke Aaina May
Barhne Na Denge Gham ke Kadam Tak
Mujhe Dekh ke Chamakti hai kyun Teri Bindiyan ?
Kya Inhe Mujhse Pyar Hai ?
aur wo kehti hai
Issey Tujhse Pyar Hai

Koi Dhunde Apne Khuda ko, Koi Apne Priya Ko
Apna Khuda Bhi, Apna Priya Bhi Mil Gaya Tujh mein Humko
Kar liye wade khai kasam tak, Sangam Hoga Janam Janam Tak


Judai ke bandi khane mein

Judai ke bandi khane mein
Bas ab tu jine ka aik hi silsila hai jana!

Tumhari sochon mein dube rehna

Tumhare khwabon mein khoye rehna

Kisi terha tum ko dekhne ki sebeel karna

Tumhare kooche tak ane ka

koi bahana karna.

Har aate jate se khriyat ki naveed lena

Hawaon aur chand aur

Parindon pe rashk karna.

Mera ji ahwaal poochna hai

Tu yeh hai jana!

Ke jane kab se….

Judai ke bandi khane mein

Baraf ki seel pe tanha

Hararat-e-zindagi se kuch

Rabbt dhoondti hoon

Badan ko apne..

Teri yaadoon ki mehak

Teri yaadoon ki mehak
Saath liye akser hum

Door khawaboo ke janzeere mein utar jate hain


Kyun ke main janti hon


Hum aur tum


Sirf khawaboo mein hi mil saktey hain


Maine socha hai iss baar tumhare humara


Aik aisi jaga utroongi


Aur tumhain apne paas bitha kar


Aankho mein aankhe daal kar


Bari himmat kar ke tum se keh dongi


Tumse keh dongi ke tum mere ho


Tum jo chaho toh


Meri ekterfa mohabbat ko saharadedo


Zindagi yun toh bahut thori hai mohabbat ke liye


Tum jitna bhi pyaar mujhe de sako sara dedo


Kuch to bolo


Kuch to bolo


Kahin aisa na ho ke sehar hotey hi hum wapis uss duniya mein loutjaien


Bas yehi chund khiyalaat liye


Teri yadoon ki mehak saath liye


Akser hum door khawaboo ke janzeere mein uter jatey hain


Kyu ke hum aur tum sirf khawaboo main hi mil saktey hain

Kabhi Gham yun bhi hota hai

Kabhi Gham yun bhi hota hai

K sansain toot jati hain

Kisi ki raah tak tak ker
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main

Wohi aanay nahi patey
Jinhen ana ho khuwabon mein
Woh rastay bhool jatay hain

Kabhi Gham yun bhi hota hai


Jahan dil apna khilta hai

Wahin mausam badalta hai
Humain jo naam lena ho
Amanat aur ki ho woh
Humain jo baat kerni ho
Sira woh mil nahin pata

Kabhi Gham yun bhi hota hai


Jahan phoolon ki aahat ho

Khizan bhi tan k aati hai
Koi dharkan sunaaye gi
Humain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho
To Dil hi mil nahin patey

Kabhi Gham yun bhi hota hai


K lawaa beh nahiN pata

Khwahish aisi hoti hai
Mager hum roo nahi saktey
Sar-e-maqtal kharay ho ker
Kabhi Tum ko pukarain to
Sada’ain mil nahi saktiin

Kabhi Gham yun bhi hota hai


K mar janey ko Dil chahay

Koi marney nahi deta

Kabhi Gham yun bhi hota hai


Humain hi gham kyun hota hai

Usay Gham kyun nahi hota!!!!!!!!!!

˙Ù •●♥ Still Alive ♥●•Ù ˙

Wednesday, August 15, 2012

WO EK LARKI . . .

UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI
WO TITLIYO KO TALASH KARTI

WO EK LARKI . . .


WO GOL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN


JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN


MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI


WO EK LARKI . . .


SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY


WOHI KARAY WO, JO DIL MAI TAANAY


KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI


WO EK LARKI . . .


WO CHAHATO K SARAAB DEKAY


MOHABATOO K WO KHWAB DEKAY


WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI


WO EK LARKI . . .


WO DOSTI K NISAAB JANAY


WO JANTI HAI EHD NEBHANAY


WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI


WO EK LARKI . . .


WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY


WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY


MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI


WO EK LARKI . . .


MOHABBATO KA JO FALSAFA HAI


WO JANTI HAI,,, OSAY PATA HAI


WO PHIR BI REHTI DARI DARI SI


WO EK LARKI . . .


WO JOOTAY LOGO KO SACHA SAMJAY


WO SARI DUNYA KO ACHA SAMJAY


WOH KITNI SAADI,,, WO KITNI PAGLI


WO EK LARKI 



 

Jo NHI tha Ishq to keh DYA hota

Yun HUMKO satane ki ZARORAT kyathi,
Dil MERA jalane ki ZARORAT kya thi,

Jo NHI tha Ishq to keh DYA hota,


Dil TOR k jane ki ZARORAT kya thi,


Maloom THA agr ye KHUWAB toot jaaenge,


Nend m aakar uthane ki ZARORAT kya thi,


ISHQ PAR lagti rahengi HAR dor maipaabandi,


Hum ko MAJBOR banane ki ZARORAT kya thi,


Maan LON agr ye YAKTARFA mohabat thi,


Mujh ko DEKH kar muskurane ki ZARORT kya thi . 


 

DIL JAL UTHA HA

MUDAT K BAD HATH KI LAKEER DAIKH KAR
DIL JAL UTHA HA KHAWAB KI TABEER DAIKH KAR

HUM NA DIL MAIN IS LIAY PATHAR BASA LIAY


TAJ MAHAL KI DILKASH TAMEER DAIKH KAR


MARI HI MUNTZIR HAIN YA B GARDSHAIN


YA ASMAN SA UTARTI HAIN TAKDEER DAIKH KAR


MUDAT BAD DIL PA RAKHA HA HUM NA HATH


KAGAZ PA TARAY HATH KI TAHREER DAIKH KAR


AHL KARAM NA APNAY KHIZANAY LOTA DIAY


WAQT KA MARA DIL KA AMEER DAIKH KAR


KISMAT K MARAY JANAY KIUN CHAL DIAY UDHAR


MANZIL B DOUR HO GAI RAHGEER DAIKH KAR


LOGON NA APNAY POUN MAIN ZANJEER DAL LI


TARI ZULF KA HUA ASEER DAIKH KAR


DIL AB B CHAHTA HA TUMHI PAR NISAR HO


TAKHIYAL SA KAHIN HASEEN TARI TASVEER DAIKH KAR


GEE CHAHTA HA GHAR SA KAHIN DOUR NIKAL PARIN


ISHTIAQ ITNAY SARAY MASAIL GHAMBEER DAIKH KAR




 

Tanha Tanha si Raat

Tanha Tanha si Raat or Tanha Tanha se Hum
Afsurda Afsurda Yaden,

Bheega Bheega Mosam,


Sookhey patton ka Shor,


Andhery ki Sargoshi,


Dharkan ki Aahat,


Qismat se apne Shikway,


Tere ehsas ka atoot bandhan,


Tere sath guzre pal,


Tere loat aanay ke Umeeden,


Tere raste pe nazar,


Lamha lamha rat ka Dhalna,


Pal pal apni as ka Tootna,


Dil ke zakhmon ka ghera hona,


Phir,


Tanha Tanha si raat aur Tanha Tanha se Hum... 


 

Monday, August 13, 2012

tum na socho gy to mar jayengay




Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah
tum na socho gy to mar jayengay

pas raho ya door bas itna khiyal rakhna


tum na dekho gy to mar jayengay


titliyum mein or hum me yahbat he mushtrik


pakar k jab choro gy hmen to mar jayengay


apne dil ki tehni pe hi khila rehne do


jab bhi tehni se toro gy to mar jayengay


kbi na milna hm se moj-e-dariya ban k


mil k jab bichro gy hum se to mar jayengay...

 

rula jate hein log

Hanste hein yun hans kar rula jate hein log
Milte hein yunhi mil kar judaho jate hein log

pal do pal ki muhabbat koumar ka saath samjhna

"MUHABBAT" bi karte hein orkhafa bi hojate hein log

Naseeb mein pyar na tha jo mujhe mila hi nahi

kr k izhaar_e_muhabbat bi beparwaah hojate hein log

ab kis say shikwa karen apni muhabbat ka Aye Ali

kar k wafa k vaadey bewafa ho jate haein log...

Woh ajeeb mousam tha

Woh ajeeb mousam tha
Ham ne kore kaghaz par

Apne khawab likhe the


Ham ne khawab dekhe the


Ankahi kahani k


Haruf sab duaa se the


Dard k bulawe the


Dil ki hukmrani thi


Duur afaq kanaron tak


Rahguzar hamari thiAngint zamano main


Sans le rahe the ham


Ajnabi jazeron main


Naqshpa hamare the


Aankh main theen tahreren


Bepanah jalwon ki


Chandni k lahjye ne


Ham se guftgu ki thi


Zindagi ka har manzer


Lamha lamha jaga tha


Pahli baar hi ham ne


Zindagi ko dekha tha


Rooz wa shab k male main


Khawab hi to sache the


Khoof hay to itna hay


Faasloon k junghal main


Khawab kho bhi jate hain..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...