Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 17, 2012

Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Huwa

Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa,

Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Huwa

Khaak Hi Kar Diya Phir Khaak Nashino Ne Mujhe,

Khaak Ka Saara Safar Khaak Mere Baad Huwa,

Saamne Mere Jise Baat Nahi Aati Thi,

Woh Bhi Sunta Hoon Ke Chalaak Mere Baad Huwa,


Jab Mere Saath Tha Logon Se Dara Rehta Tha,

Log Kehte Hain Ke Be'Baak Mere Baad Huwa,


Woh Mujhe Chhor Ke Khush Baash Nahi Reh Sakta "Qateel",

Aur Usko Bhi Yeh Idraak Mere Baad Huwa...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...