Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 18, 2012

abi kal ki bat hai

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai,


Tum hum pe mehrban thy abi kal ki bat hai,


Wo din b thy k hum hi tmhari
zuban py thy,


Mozoe dastaan thy abi kal ki
baat hai,


Ae karwan e husn o ishq tm ko yad ho shaid,


Hum meere karwan thy abi kal ki bat hai,


Kuch hadson se gir gae Anjum zameen per,


Hum rashk e aasman thy abi kal ki baat hai...


Ajib dastan hoti he dosti ki
Larna milne se b acha lagta he..



Lar k manane wale b hote hen kuch
To kuch ko chirhana acha lagta he


Dost k muh se kuch sunne k liye Kabhi jhuk jana bhi acha lagta he..



Safar train ka ho ya zindagi ka Khatm hi nai hoti batin

Phir b khamosh reh kar muskrna acha lagta he

4 dosto me lagta he mil gai puri duniya

Baki sab bhul jana acha lagta he

Yaro hmesha 7 rahna

Yar tumhara yarana acha lagta hy.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...