Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 17, 2012

Dasht-e-darya

Dasht-e-darya k ye us paar kahaN tak jaati,


Ghar ki deewar thi, deewar kahaN tak jaati,


Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,


Hijr me hasrat-e-deedar kahaN tak jaati,


Thak gaye hont tera naam bhi lete lete,


Aik hi lafz ki takraar kahaN tak jaati,


Tu bohat door bohat door geya tha mujh se,


Meri Aawaz mere yaar kahaN tak jaati,


Har taraf hussn k bazaar lagay they..


Meri chashm-e-kharidar kahaN tak jaati...!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...