Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 17, 2012

dekho toh sahi

Kitne din beet gaye hai dekho toh sahi,
Kitne chiragh bujh gaye hai dekhotoh sahi.

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya,

Khizaan ek bar phir aagaye hai dekho toh sahi.

Kitni chahat se likhti thi mein naam tumhara,

Woh qalam hi tod diya hai zara dekho toh sahi.

Itni asaani say toh milti nahi nafrat bhi lekin,

Tumne hasil shuda pyaar thukra diya dekho toh sahi.

Anchal mein apne chupaye thay moti bohat,

Ab ke zabt tutne se saylab ravanhai dekho toh sahi.

Ana rokti hai mujhay har bar jhuknay se magar,

Kitni bar tumne jhukaya hai dekho toh sahi.

Faqeer ban kar tere kuchay meinaakar nasir,

Kitni aas se dekhte hai tumhain dekho toh sahi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...