Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, August 17, 2012

Dil kal bhi apna dukhta tha

Yaadon se rishta kal bhi tha yaadon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta tha aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq toh zinda ab bhi hai


Kal tak jo hijar satata tha uss hijar ka pehra aaj bhi hai


Tum door hue majboori mein hum toot gaye iss doori mein


Kabhi waqt mile toh aa jana dil kadarwaaza khula aaj bhi hai


Woh sahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde sahil par


Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai


Tum khush rehna dil ki duniya apni toh chalo barbaad hoi


Dil gham ka maara kal bhi tha aurgham ka maara aaj bhi hai


Yeh ashk nahi hai aankhon mein yeh taare jhilmil karte hai


In aankhon mein jo kal tak tha woh chaand sa chehra aaj bhi hai


Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha tha mila


Gham kal bhi mera sarmaya tha gham mera wirssa aaj bhi hai 


 

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...