Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 31, 2012

badal barish mai or tm

badal barish mai or tm,
chao tm 0r brsti hn mai,
ph0ol khusb0 mai or tm,
nazr ao tm 0r mehkti hn mai,
dil drkan mai or tm 
chalo tm 0r drkti hn mai
nehr kinara mai or tmbhty ho tm
 7 7 rh0n mai,
zindgi sans mai 0r tm
chalo tm 0r zinda rhti hn mai,
r0shni saya mai or tm
 hoty ho tm 0r bnti hn mai
chand stary mai or tm
r0shan ho tm 
0r khush mai
darya smandr mai 0r tm
gir0 tm 0R lagon mai
par!DUA
kysy milien gy mai 0r tm ?
asman h0 tm 0R zAmeen main
( Dua_Ghazal ) 



Na mila nzr se nzr

Na mila nzr se nzr
Aysa na ho chaht hojay
Tje mjse m0hbat hojay
Kia rasm0n se bgawt kr logy?
Qaim ik nai rawayt kr lo gy?
Bin apno k jena prta hai
Ik rishty mai 100 ko jena parta hai
T0fan bsYra kr jaty hai
Hr charag bujha k andehra kr jaty hai
Dunya KARI kr dyti haZindgi mai kanty bhar dyti hai,
Dil ko behlana parta ha
Aksr ansu bahane ko muh takye mai chupana parta
tm kia jano pgly ali,
p0ch0 is dua se
kuch pane k liye
kia kiagawana parta hai

(Dua_Ghazal) 


Mere naam ye apni zindagi tamaam kar de...

Mere saanson k kharidaar mujh par thoda saa ehsaan kar de
tere dil ki thodi sii zamiin mere naam kar de

tuut kar bikharna chahti huun teri baahon main mai

apni baahon ka thoda sa hissa mujh par kurbaan kar de


 






Apne dil k khaalipan ko tere khayalon se mai bharti huun

tu mere zahn main utar kar mujhe apna gulaam kar de

mere shareer k har kone main tere pyaar ki basaawat hai

tu meri zindagi main aa k roshan jahan kar de



Maine khud ko hamesha chaar dewaari main kaid rakha hai

mujhe AZAAD kar de mera ye bhi kaam kar de

mere khawabo k kaarwaan ko sachaai main badal kar

mere naam ye apni zindagi tamaam kar de...

(For My Lovely FriendsSs) kaash k yuun bhi kabhi hua hota

E-khuda kaash k yuun bhi kabhi hua hota
wo mere saamne rota aur mai apni baat pe ada hota. . .

use bhi mehsuus hota kissi apne k duur jane ka ghum

kaash k wo bhi meri hi tarah yuun hi tadpa hota . . .






Pal-pal ko barson main guzaara hai maine,

kaash ki ek pal usne bhi aisaa guzara hota . . .

ashq bhi suukh gaye thae in palkon main meri

mai khush hota 

gar ek aansu bhi usne mere liye bahaya hota



Uske liye to pyaar ek khel tha, 

bahut kuch sikhaya usne,
 
kaash ye khel bhi sikhaya hota . . .

dua karta huun k ek din 

wo bhi meri hi jagah khada ho,

usse maluum to ho 

ki mai to zhel gaya tha 

par wo tuut gaya hota...

Tu meri jaan hai, rab hai mera

Teri rehmat hai mere saath , jo mai iss jahan main huun ,
Meri khush kismati ki isse badh kar kya misaal duun ,
Tu meri ruuh main basta hai, mere zehn main hansta ,
Mere har ek karam main, tu hi mujhko deta hai sadka ,

Teri mojudgi bhi dil ko mere raas aati hai ,
Teri dehleez par ye zindagi aansun bahati hai ,
Tere faizon karam se hi meri duniya hai ab roshan ,
Tu meri jaan hai, rab hai mera, tu hai mera darpan ,


Mere khwaabon ki duniya tujh par aa kar praan paati hain ,
Tere hi nuur se kudrat main har pal jaan aati hai ,
Tu saahil hai samandar ka, tu hai ek aasara mann ka ,
Tu mere dil ki dhadkan hai, tu jeevan hai mere tan ka ,

Mere aankhon k koron main hi basta hai tera saawan ,
Tu mere zahen ki har ek khushi ka hai sahi kaaran ,
Tu jab tak saath mere hai, mai khud par naaz karti huun ,

Tujhi se seekh pa kar teri duniya main sawarti huun . . .

Rote hue dekha hai. . .

Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .



Maine zindagi ko saanson main ghutae hue dekha hai. . .

Kissi masuum ki aankhon k bhole sapno ko maine

Til til kar dard se tuutae hue dekha hai. . .

Maine mehfilon main tanhaai ko sisakte hue dekha hai. . .



Maine pyaar k sachchae moti ko shaq k kaaran 

Hazaaron ki bheed mainn bikharte hue dekha hai. . .

Maine dosti ko haathon se chuutae hue dekha hai. . .

Maine ret k mehlon ko tuutae hue dekha hai. . .



Maine taaron ko chaand se zhagadte hue dekha hai. . . 

Maine khamosh zubaan ki. . . dil ki. . . har aah ko

Kissi band kamre main cheekhtae hue dekha hai. . .

Maine aandhiyon ko aate or jaatae hue dekha hai. . .






Maine aankhon main aansuon ko tadaptae hue dekha hai. . .

Maine phoolon ki muskurahathon main chupae... apaar ghum ko dekha hai. . .

Maine aasma ko dharti par zhuk kar sote hue dekha hai. . .

Maine chaand se chaandni ko bichadte hue dekha hai. . . 



Tum nahi jaan paaoge mere dard ki gehraai ko

Tumne mehlon ko kahan kabhi khandar bante dekha hai. . . 

Mere chehre ki udaasi kahan kabhi tumhain chuu payegi

Tumne kahan kissi phool ko shaakh par rote hue dekha hai. . .



Dekhne par aaye 

To har cheez dekhti hai duniya

Par in paththar aankhon se

Kahan kissi ne sachchaai ko dekha hai



Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .

Tum dil ki ek pukaar ho

Tum Maun ho... to ye kaun hai???
Jo ander hi mere chikhta chillaata hai . . .

Ek Udaaseen sada hai jo kahin duur se aati hai . . .
Ek pakshi hai jo bilakhta fadfadata hai . . . 



Aankhain moondun to ek andheri gehraai main . . . 

Ek dhundhla sa chehra nazar aata hai . . . 



Tum sada ho ya ehsaas . . .

Tum hawa ho ya madhumaas . . . 

Tum ho waqt ki dhaar . . . 

Tum dil ki ek pukaar . . . 

TUM JEEVAN k USS PAAR






Tum dil main ek bawandar ho . . . 
Tum aankhon ka samandar ho . . . 
Tum zinda ho mere tan main . . . 
Tum ho shaashwar mere mann main . . . 


Tum sukh ho mere angan ka . . . 
Tum praan ho mere prangan ka . . . 
Tum dil ki ho har ek dhadkan . . . 
Tum saanson ka ho har ek kan . . . 
Tum jab se ho gayi ho ojhil . . . 
Saansain meri ho gayi bojhil . . . 


Jeenae ko mere ab to bas . . . 
Beetii baatain hi baaki hain . . . 
Wo saath guzare lamhon ki . . . 
Pyaari ghadiyan hi baaki hain . . .


Jeevan k iss lambe path par . . .
Mere saath mujhe hi chalna hai . . . 
Ab dheere dheere sulag sulag kar . . . 
Mujhko yuun hi jalna hai . . . 

Ab dheere dheere sulag sulag kar . . . 
Mujhko yuun hi jalna hai . . .

Kyun tu dil ki duniya se duur ho gaya hai . . .

Jo socha nahi tha wo kyun ho gaya hai . . .
Jo chaha nahi tha wo kyun ho gaya hai  . . .

Mere dil main teri jagah to thii uchii . . . 

Kyun tu dil ki duniya se duur ho gaya hai . . .



Hain kuch aisii baatain jo keh na sakungi . . . 

mai chah kar bhi tujhko samjha na sakungi . . . 

kyun rone par ye dil mejboor ho gaya hai . . .

kyun tu dil ki duniya se duur ho gaya hai . . .






Meri dosti ka ye kya imtihaan hai . . .
Mera dil hai ye. . . . ya dariyaa ka tufaan hai . . . 
Naa chah kar bhi kyun . . . aisaa kyun ho gaya hai . . . 
Kyun tu dil ki duniya se duur ho gaya hai . . . 


Tu lau hai deepak ki, mai baati ussi ki . . .
Tu hai chaand nabh ka, mai saathi ussi ki . . .
Fir kyun mujhse naraj yuun ho gaya hai . . .
Kyun tu dil ki duniya se duur ho gaya hai . . .

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .

  Kyun pyaar nahi zhalakta unn aankhon main mere liye . . .
  Kyun meri bechaini mujhko kachota karti hai . . .
  Kyun dhuundhta rehta huun mai... khud ko... bholi aankhon main . . .
  Kyun ye chahat meri mujhko rulaya karti hai . . .

 
Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .
    Kyun neend nahi aati mujhe raat bhar . . .
    Kyun dil main ek khalish sii rehti hai . . .
    Kyun ye zindagi bojh mujhe lagti hai . . .
    Kyun ye saansain adhuri lagtin hain . . .


 

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .
    Kyun har pal seenae main intazaar ki lau jagti hai . . .
    Kyun duur tak bas teergi zhalakti hai . . .
    Kyun takaan paane ki ummeed bhi na jagti hai . . .
    Kyun rah-e-wafa main wafa nahi zhalakti hai . . .

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .

Ek Tera Ehsaas Hai

Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai
Ek Teri Yaad Hai
Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai
Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki
Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai......... .....
Ratain Hogai Hai Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katteen
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai
Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai

Friday, March 30, 2012

Juda Na Tha

So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha

Rog Mile

Iss Dunya Mein Jo Humko Dil Ke Hein Rog Mile
Khushion Ki Talaash Mein Jo Humko Hein Sog Mile
Matlabi Zamane Ki Matlabi Galion Mein
Doston Ke Roop Mein Sab Dushman Log Mile

Jaga Di Thi

Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi
Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi
Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

Ummiid-E-Vafaa Hai

Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
Tujhe Ai Zindagii Kyaa Ho Gayaa Hai
Badii Zaalim Nihaayat Bevafaa Hai
Ye Duniyaa Phir Bhii Kitanii Khush-Numaa Hai
Har Ik Apane Hii Gam Mein Mubtilaa Hai
Kisii Ke Dard Se Kaun Aashnaa Hai
Mere Naqqaad Merii Shaayarii To
Mere Tuute Huye Dil Kii Sadaa Hai
Kahaan Huun ?Shad? Main To Shaad Saa Huun
Vo Shaad-E-Khush-Navaa To Mar Chukaa Hai

Thursday, March 29, 2012

Dareeche se jhankti wo ladki,

Dareeche se jhankti wo ladki,
Ajeeb dukh se bhari huyi hai,

Ki uske aangan me phool par,
Ek neeli titli mari huyi hai,

Kabhi azaanon me khoyi khoyi si,
Kabhi namaazon me royi-royi si,

Wo aise duniya ko dekhti hai,
Ki jaise us_se dari huyi hai,

Darod se mehki mehki saansen,
Wazzefe padhti hui wo aankhen,

Ki ek sham_e_ummid unme
Kayi baras se padi huyi hai,

Wo dukh ke chadar me lipti lipti,
Wo kale kapron me simti simti,

Mohabbat usne kisi se shayad
Meri tarha se ki huyi hai.

Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai

Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai,
Tu misl-e-rag-e-jaan hai to kiun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-Nazar hai to nahi tujh ko khabar kiun?,
Pehlo mai tere koi Zamanay se khara hai,

Likha hai mera Naam Samnadar pe Hawa ne,
aur dono ki fitrat mai Sakoon hai na Wafa hai,

Uth'ti hain jo pehlu se mere Dard ki lehrain,
Be-taab Samandar koi Seenay mai daba hai,

"AY ZEEST KE DOZAKH SE GUZARTAY HOYE LAMHO,
SOCHA HAI KABI TUM NE KE JEENA BI SAZAA HAI..."

Main kuch bi nahi hon tere liye

Main kuch bi nahi hon tere liye,
Kuch tere liye main ho jaon,

Tere Dil mai rahon;Aankhon mai bason,
Dharkan mai shamil ho jaon,

Aey kash ke jab tu baat kare,
Naam mera bi us mai shamil ho,

Tu jab bi mangay us RAB say,
mera naam bi us mai shamil ho,

Aey kash ke har baar nahi,
Ek baar to aisay ho jaye,

EK PAL KE LIYE AEY JAAN-E-WAFA,
TUJHE MUJH SE MUHABBAT HO JAYE....

Mere pani mein or thora sa milao pani

Mere pani mein or thora sa milao pani 
 
q k mien pita hon patla pani


kuch tum soch lo apne bare mien kcuh hum


q k mein pita nehi kabi tanha pani


youn daira sa bana lon tum mere ird gird


jana jo chaho tu kabi mussar na aaye mujhe gahra pani


aise saama jaon tum mere dil-o-jan mein


mein sang jaon kisi or k tu mujhe raas na aaye un ka pani


meri sansein tu amant hain tumhari inhein apna banna 

 
chod na jana mujhe q k bohat daraona hai raat ka pani


zara jo tum door hoye kia pata badal jaon janaa 

 
tumhein pata hain janaa bari zalim hai tanhai or phir pani


kuch ajeeb se lage hain mere rang un ko nazim


intazar tu hai mujhe jane wo kab aaye peene mere ghar ka pani


kia pata wo kesa hai kitna hai rangeen nazim


aa talash karay ussy pee kar har jagha ka pani...

*~*~*NAZIM ALI*~*~*

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main
Tu theek kehta hai shayad badal gaya hoon main

Tujhay khabar nahi kaisay sarab rastay thay
Khuda ka shukar k phir b sanmbal gaya hoon main

Mairay alawaa bhi tujh ko azeez hai koi!!!!
Zara c baat pay aaisay hee jal gaya hoon main

Yeh paoo'n jantay hain wakt e hijar kaisa hai
Kadam kadam kisi pathar main dhal gaya hoon main

Utha liya hai sitaroo'n nay aasma'n sir par!!!!
Zara jo chaand ki khatir machal gaya hoon main



Mohabbat ka meri hasaab mangta hai

Apnay ehsaas se cho ker mujhay sundal ker do

Apnay ehsaas se cho ker mujhay sundal ker do 
main k sadion se adhoora hon mukamal ker do
na tumhain hosh rahay na mujhay hosh rahay
is qadar toot ker chaho mujhay pagal ker do

meri hatheli ko apnay piyar ki mehndi se rango
meri ankhon main apnay piyar ka kajal bher do
dhoop hi dhoop hon main, toot ker berso mujh per
is qadar berso meri rooh ko jal thal ker do
tum chupa lo mera dil, oat main apnay dil ki
or mujhay meri nigahon se bhi ojhal ker do
masla ho tu nigahain na churao mujh se 
apni chahat se, tawaja se mujhay hal ker do
apnay gham ko kaho her waqt mere saath rahain
ik ehsaan kero, is ko musalsal ker do

mujh pe chah jao kisi aag ki soorat janan
or meri zaat ko sookha howa jangal ker do...

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Karaar Tha

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Karaar Tha
Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Hi Ya Ni Vaada Nibaah Ka
Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Woh Jo Hum Mein Tum Mein….


Woh Naye Gile Woh Shikaayathe
Woh Maze Maze Ki Hikaayathe

Woh Naye Gile Woh Shikaayathe
Woh Maze Maze Ki Hikaayathe

Woh Har Ek Baath Pe Rootna
Tumhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
Woh Jo Hum Mein Tum Mein.......

main aisi mohabbat karta hoon

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab….sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho


kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa ae to
main pehroon us ko sochta hoon
main…aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho


jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo…tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

Bhalay dinoan ki baat hai

Bhalay dinoan ki baat hai

Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see

Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay

Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee

Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho

Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay

Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain

Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho

Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban

Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din

Nahe, magar kabhi kabhi.....

Tum kya ho mairay liay yeh bataa nahi sakti main

Tum kya ho mairay liay yeh bataa nahi sakti main
likhay alfaaz in kaghaz kay tukroon par parh sako to parh laina
mairi aankhoon ki kitaab par mairi har dharkan pukarti hay sirf tumahra hi naam
sun sako to sun laina mairay dil ki baitaab
dharkanoon ko taire paas aane say mehak uthti hay
mairi khoi hoi arzoo mehsoos kar sako to kar laina
mairi saanso ki kushboo main.

Hawa chali bhi nahi aur bikhar gae hum tum

Hawa chali bhi nahi aur bikhar gae hum tum
Khabar mili na kisi ko kidher gae hum tum

Wooh raat yaad hai jab jism ki fasilon se
Pukarte rahe sae guzar gae hum tum

Hamare charon taraf chor tha sadaoon ka
Magar bicharte hoi baat ker gae hum tum

Hamari tishna labi ka safar sarab mein tha
Dabo ke kashti jaan par utar gae hum tum

Hawa udas thi mausam ki pehli barish thi
Ajeeb shaam thi jab apne gher gae hum tum

Abb iss se aage andhera tha subah hone tak
Chirag jalne gae the teher gae hum tum

Jam Jam Barsay

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

muhabbat ho jati

merey lafzon ki pehchan agar wo ker leta faraz

usey mujh se nahi,khud se hi muhabbat ho jati!

Theharti Nahi

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi
Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi
Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi
Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi
Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi
Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi

Aziyat-nak Hoti Hyn

Kon Kehta Hy k Nafrato?n Main Dard Hy Ali

Kuch Mohabbate?n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo
Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo
Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo
Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo

Rusvaa Na Kijiye

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye
Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye
Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye
Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

Mazay Main Hain

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain

Baki Hai

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai
Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai
Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai

Rulatay Bohat Hai

Muhabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai
Wo Raaton Main Hum Ko Jagatay Bohat Hai
Mai Ankhon Mai Kajal Lagaon To Kesy
In Ankho Ko Log Rulatay Bohat Hai!

Ik Shakhs tanha rota Raha hai

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,
akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,
Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,
Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,
Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,
So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,
kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,
aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,

Chand Ko Kia Khaber

Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber
Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber
Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber
Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber
Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber

Jane Kidhar Chala Gaya

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya

Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya

Ankhon Mein Sama Jao

Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna
Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna
Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho

Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge
K Lakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge
K Khuwab Kia Hain, Azab Hain Ye
Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye
Rafaqtain In Main Choteti Hain
Mohabbatain In Main Rothti Hain
Pinapti Hain In Main Wehshatain Si
Aziatain In Main Photeti Hain
Inhein K Dar Se Khizan Hain Jazbe
Inhein Se Shakhain Si Toteti Hain
Ghamon Ki Bandish Hain Khuwab Mere
Dukhon Ki Barish Hain Khuwab Mere
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa
Rahen-E-Atish Hain Khuwab Mere
Khial Sare Jhulas Gai Hain
Sulagti Khuwahish Hain Khuwab Mere
Ukharti Sansain Hain Zindagi Ki
Laho Ki Sazish Hain Khuwab Mere
Jo Meri Aankhon Se Khuwab Dekho
To Aik Shab Bhi Na So Sako Ge

Tum Har Baar Mujhe

Mujh Per Ilzaam Hain Sabhi
 Tum Jin Per Khafa Hote Ho
Main Mujrim To Nahe
 Kyun Mujh Ko Saza Detey Ho
Gar Muhabbat Nahe Ikhlaq
 Bhe Koi Cheez Hai Sanam
Tum Har Baar Mujhe 
Nazroon Sey Gira Detey Ho?

qaid hai

Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai
lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid hai
ab uski yaadon se nikla nahi jata
koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai.

uchat jaati hai

subah ki aas kisi lamhe jo ghat jaati hai
zindagi saham ke khwaabo?n se lipat jaati hai
aahatein kaun si Khwaabo?n mein basi hain jaane
aaj bhi raat gaye niind uchat jaati hai

Meri AankhoOn K Jaadu Se

Meri AankhoOn K Jaadu Se
Tum Na-waqif Ho
Main Usay Pagal Kr Deta
Hoon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye ?




Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga?!!!



Wo Aankhein

Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon

Diye Jal Jaate Hain

Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Taarikiyo?n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati Hai
Aksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti Hai
Kyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti Ha
Ishaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Inn Waadiyo?n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati Hoon
Ye Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate Hain
Sehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke Neeche
Ye Aasmaa?n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa?n Giraate Hain
Shaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Hansi Labon Par

Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rahe Ho

Kyun Tumko Bhula Nahin Paati

Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sab Jaanti Hoon Magar Phir Bhi
Kyun Tumko Bhula Nahin Paati
Is Dil Se Teri Tasveer Hata Nahin Paati
Muskurane Ki Koshish Karti Hoon Lekin
Ankhon Ke Motiyon Ko Chupa Nahin Paati
Jab Sochti Hoon Ki
Tum Ho Kisi Aur Ka Muqaddar
Jalan Si Hoti Jise Mita Nahin Paati
Jab Barasta Hai Saawan Toot Ke Kahin
Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sulagti Hai Rooh Teri Ek Jhalak Ko
Is Khwaaish Se Main Dil Ko Bacha Nahin Paati!!!





Dhuhaan

Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan
Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan
Aankhon Se Aanso?on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan

Ek Baat ??

Ek Baat?? .
Bs Ek Baat Karni thi..
Tum Se Magar Choro?
Samey Beet Gea Aur Tum Kahenn k Hogae..
Hum Aur Kahen K Hogae..
Kae Zard Rutain Guzar Gaein..
Kae Bahar Mousam Guzar Gae
 Shabab Rut Nekal Gae.. 
Tumhare Baloon Mein 
 Chandi k Taar Utar Aae.
Hamain Waqt Ne Shekasta Badan kia..
 Choro Kia Batain Ly Kr Baith Gae.. Yaad Aya !!
Hum Ne To Pouchna Tha
Sunao Ghar ka Kia Haal Hy?
Tumhare Ghar k Makeen Kese Hain??

Zamane Wale

unhi Umeed Dilatay Hain Zamane Wale,
Laut Kay Kab Aatay Hain Jane Wale,
Tu Ne Dekha Kabi Sehra Main Jhulasta Hua Darakht,
Iss Tarha Jaltay Hain Wafaon ko Nibhane Wale,
Tu Aa Kar To Dekh Kabi Un Ki Shabon Main,
Kitna Rotay Hain Zamane Ko Hasane Wale?!

Faslay bhi

Door Reh kar kareeb kitnay thay,
Faslay bhi Ajeeb kitnay thay,
Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
Is jahan mein Tabeb kitnay thay,
Umer bhar Sath jo raha Tere,
Us k Achay Naseb kitnay thay,
Kyun na Aaya me Tere sapno mein,
Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!



Image

Faslay

Door Reh kar kareeb kitnay thay,
Faslay bhi Ajeeb kitnay thay,
Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
Is jahan mein Tabeb kitnay thay,
Umer bhar Sath jo raha Tere,
Us k Achay Naseb kitnay thay,
Kyun na Aaya me Tere sapno mein,
Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!



Image

Nazar me

Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko souchon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha !!

Nazar me

Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko souchon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha !!

Ab key Bars

Ab key Bars Ek Ajeeb si Khawish Jagi Hai

Koi Toot key Chahay aur Main Be-Wafa Nikloo'n
Mujhe Azad Kar Do Na
k Main Hon Qaid Barson Se
Judaii Ki Azziyat Mein
Zehar Bhar De Gi Yeh Zalim
Meri Nazuk Tabiyat Mein
Na Do Ab Hausla Mujh Ko
Bata Do Rasta Mujh Ko
Koi Bahar Nikalney Ka
Hawa Mein Phir Se Urny Ka
Mujhe Uss Des Jana Hay
Jahan Panchi Utartey Hain
Jahan Mousam Badaltey Hain
Meri Banjar Si Aankhon Mein
Meri Betaab Saanson Mein
Koi To Rung Bhar Do Na
MUJHE AZAD KAR DO NA...!!!

Tere Dar Par

Gam Ki Aahat Bhi Na Aaye Tere Dar Par

Pyar Ke Samandar Ka Tu Bhi 1 Kinara Ho

Kabhi Bhul Se Jo Tapke Teri Ankh Se Moti

Thame Wo Jo Tujhe Sabse Pyara Ho



Ab key Bars Ek Ajeeb si Khawish Jagi Hai

Koi Toot key Chahay aur Main Be-Wafa Nikloo'n

Mujhe Azad Kar Do Na

Mujhe Azad Kar Do Na
k Main Hon Qaid Barson Se
Judaii Ki Azziyat Mein
Zehar Bhar De Gi Yeh Zalim
Meri Nazuk Tabiyat Mein
Na Do Ab Hausla Mujh Ko
Bata Do Rasta Mujh Ko
Koi Bahar Nikalney Ka
Hawa Mein Phir Se Urny Ka
Mujhe Uss Des Jana Hay
Jahan Panchi Utartey Hain
Jahan Mousam Badaltey Hain
Meri Banjar Si Aankhon Mein
Meri Betaab Saanson Mein
Koi To Rung Bhar Do Na
MUJHE AZAD KAR DO NA...!!!

In Alfazon Ko Dil Ka Asharaa Chahiye Or Bass

Alfaz Tu Dheron Hain Man Mein jane Kiss Ke Liye 
In Alfazon Ko Dil Ka Asharaa Chahiye Or Bass
Tu Phir Ye Mohabbat Na Karne Ki Shart Kesi Nazim 
Gar Ye Tay Hai K Ussi Ka Sath Chahiye Or Bass 
Rehna Hai Rehnay Aaye Hain Tou Dil Mein Rekh Tu Sehi 
In Darveshon Ko Tere Ghar Ka Aik Kona Chahiye  Or Bass 
Jahan Chahe Tou Jo Chahe Mang Lay 
Mere Khawbon Ko Teri Ankhon Ka Sahara Chahiye Or Bass 
 Ye Manzil Hai Teri Issi Ki Dhool Hai Tou 
Mohabbat Naam Hai Is Ka, Tujhe Uttarna Hai Is Mein Or Bass 
Main Sath Reh Sakon Jiss Ke Jo Mera Ho
Sab Ashaar Mere Hain Tere Wajod Ka Rang Bharna Hai Or Bass 
Tang Kar Diya Hai Logon Ne, Kuch Abb Chah Bi Hai 
Mujhe Abb Sawarrna Hai, Tera Ban'na Hai  Or Bass 
Faida Ho Yaa Khasaaray Mein Jaon Maloom Nehi
Is Dil Ki Dukan Ko Abb Chalaana Hai  Or Bass 
Nazim Sab Keh Rehay Hain K Tou Aa 
Lagta Hai Abb Dil Ka Qaidi Ban'na Hai, Banana Hai  Or Bass 
( Nazim Ali ) 

TERE EKHLAASS SE MOHABBAT KI HAI

TERE EKHLAASS SE MOHABBAT KI HAI
TERE EHSSAAS SE MOHABBAT KI HAI

TU MERE PASS NAHIN HAI PHIR BHI
TERI YAAD SEY MOHABBAT KI HAI

KABHI TO TUNE BHI MUJHE YAAD KYA HO GA
MAIN NE UN LAMHAAT SE MOHABBAT KI HAI

JIN MAIN HO SIRF TERI AUR MERI BATAIN
MAIN NE UN AUQAAT KI SE MOHABBAT KI HAI

AUR JO MAHEKE HO SIRF TERI HI MOHABBAT SE
MAIN NE UN JAZBAAT SE MOHABAAT KI HAI

TUJH SE MILNA TO AB KHUWAAB SE LAGTA HAI ?????
MaiNE TEREY INTEZAAR SE MOHABBAT KI HAI

kuch waqat lage ga

jo beeti hai use dhurane main kuch waqat lage ga.
es ghum ko ek yaad bnane main kuch waqat lage ga.
naneed to ane ko thi per dil pachle qase le batha.
ub khud ko be waqat sulane main kuch waqat lage ga.
us ka sath ub tanhai ko kerta hai or zeyda.
per yeh baat samjhane main kuch waqat lage ga.
akhar humein bhi loot ker ek din gahar jana hai.
layken itni door se ane main kuch waqat tu lage ga.
itni jaldi kua hai ?sagar? tum ko wapais jane ki.
kaam yeh dunya k nabtane main kuch waqat tu lage ga.

Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Main
 K Sabhi Ka Nabz Shanas Hon
Kabhi Aa Key Mujh se To Pochta 
K Main Kis K Gham Main Udass Hon
Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai
 Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Main Warq Warq Tere Samne
 Tere Ru Baru Tere Pass Hon
Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua 
Kabhi Tune Ghor Nahi Kia
Kisi Sham Tune Kaha To Tha
 Teri Sans Hon Teri Aas Hon
Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi 
K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi 
Kai Din Se Yunhi Udass Hon
Kisi Or Ki Ankh Se Dekh Kar
 Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aetibar Hon Jan-E-Man 
Na Guman Hon Na Qayas Hon




Sham ko parindon ki tarah

Sham ko parindon ki tarah lout aata,
Muntazir agar koi hamara hota,
Chand taaron ki talab kisey thi,
Bas roshni ke liye aik sitara hota,
Hum mein shayad koi kami thi,
Warna zaroor koi hamara hota,
Sari Dunia ki tamana kiss ko thi,
Hum ne chaha tha bas itna ke wo shakhs hamara hota???.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...