Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 31, 2012

Tu meri jaan hai, rab hai mera

Teri rehmat hai mere saath , jo mai iss jahan main huun ,
Meri khush kismati ki isse badh kar kya misaal duun ,
Tu meri ruuh main basta hai, mere zehn main hansta ,
Mere har ek karam main, tu hi mujhko deta hai sadka ,

Teri mojudgi bhi dil ko mere raas aati hai ,
Teri dehleez par ye zindagi aansun bahati hai ,
Tere faizon karam se hi meri duniya hai ab roshan ,
Tu meri jaan hai, rab hai mera, tu hai mera darpan ,


Mere khwaabon ki duniya tujh par aa kar praan paati hain ,
Tere hi nuur se kudrat main har pal jaan aati hai ,
Tu saahil hai samandar ka, tu hai ek aasara mann ka ,
Tu mere dil ki dhadkan hai, tu jeevan hai mere tan ka ,

Mere aankhon k koron main hi basta hai tera saawan ,
Tu mere zahen ki har ek khushi ka hai sahi kaaran ,
Tu jab tak saath mere hai, mai khud par naaz karti huun ,

Tujhi se seekh pa kar teri duniya main sawarti huun . . .

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...