Alfaz Tu Dheron Hain Man Mein jane Kiss Ke Liye
In Alfazon Ko Dil Ka Asharaa Chahiye Or Bass
Tu Phir Ye Mohabbat Na Karne Ki Shart Kesi Nazim
Gar Ye Tay Hai K Ussi Ka Sath Chahiye Or Bass
Rehna Hai Rehnay Aaye Hain Tou Dil Mein Rekh Tu Sehi
In Darveshon Ko Tere Ghar Ka Aik Kona Chahiye Or Bass
Jahan Chahe Tou Jo Chahe Mang Lay
Mere Khawbon Ko Teri Ankhon Ka Sahara Chahiye Or Bass
Ye Manzil Hai Teri Issi Ki Dhool Hai Tou
Mohabbat Naam Hai Is Ka, Tujhe Uttarna Hai Is Mein Or Bass
Main Sath Reh Sakon Jiss Ke Jo Mera Ho
Sab Ashaar Mere Hain Tere Wajod Ka Rang Bharna Hai Or Bass
Tang Kar Diya Hai Logon Ne, Kuch Abb Chah Bi Hai
Mujhe Abb Sawarrna Hai, Tera Ban'na Hai Or Bass
Faida Ho Yaa Khasaaray Mein Jaon Maloom Nehi
Is Dil Ki Dukan Ko Abb Chalaana Hai Or Bass
Nazim Sab Keh Rehay Hain K Tou Aa
Lagta Hai Abb Dil Ka Qaidi Ban'na Hai, Banana Hai Or Bass
( Nazim Ali )
No comments:
Post a Comment