Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 31, 2012

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .

  Kyun pyaar nahi zhalakta unn aankhon main mere liye . . .
  Kyun meri bechaini mujhko kachota karti hai . . .
  Kyun dhuundhta rehta huun mai... khud ko... bholi aankhon main . . .
  Kyun ye chahat meri mujhko rulaya karti hai . . .

 
Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .
    Kyun neend nahi aati mujhe raat bhar . . .
    Kyun dil main ek khalish sii rehti hai . . .
    Kyun ye zindagi bojh mujhe lagti hai . . .
    Kyun ye saansain adhuri lagtin hain . . .


 

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .
    Kyun har pal seenae main intazaar ki lau jagti hai . . .
    Kyun duur tak bas teergi zhalakti hai . . .
    Kyun takaan paane ki ummeed bhi na jagti hai . . .
    Kyun rah-e-wafa main wafa nahi zhalakti hai . . .

Kyun raat meri mujhko rulaya karti hai . . .
Kyun din bhar uski yaad peecha karti hai . . .

1 comment:

  1. Ranj o rahat faza nhi hota
    Asar esko zara nhi hota, tum hamaray kis tarha na howye hal e dill yar ko likhon kiun kr
    http://www.infoaw.com/article.php?articleId=902

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...