Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 29, 2012

Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai

Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai,
Tu misl-e-rag-e-jaan hai to kiun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-Nazar hai to nahi tujh ko khabar kiun?,
Pehlo mai tere koi Zamanay se khara hai,

Likha hai mera Naam Samnadar pe Hawa ne,
aur dono ki fitrat mai Sakoon hai na Wafa hai,

Uth'ti hain jo pehlu se mere Dard ki lehrain,
Be-taab Samandar koi Seenay mai daba hai,

"AY ZEEST KE DOZAKH SE GUZARTAY HOYE LAMHO,
SOCHA HAI KABI TUM NE KE JEENA BI SAZAA HAI..."

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...