Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 31, 2012

Rote hue dekha hai. . .

Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .



Maine zindagi ko saanson main ghutae hue dekha hai. . .

Kissi masuum ki aankhon k bhole sapno ko maine

Til til kar dard se tuutae hue dekha hai. . .

Maine mehfilon main tanhaai ko sisakte hue dekha hai. . .



Maine pyaar k sachchae moti ko shaq k kaaran 

Hazaaron ki bheed mainn bikharte hue dekha hai. . .

Maine dosti ko haathon se chuutae hue dekha hai. . .

Maine ret k mehlon ko tuutae hue dekha hai. . .



Maine taaron ko chaand se zhagadte hue dekha hai. . . 

Maine khamosh zubaan ki. . . dil ki. . . har aah ko

Kissi band kamre main cheekhtae hue dekha hai. . .

Maine aandhiyon ko aate or jaatae hue dekha hai. . .






Maine aankhon main aansuon ko tadaptae hue dekha hai. . .

Maine phoolon ki muskurahathon main chupae... apaar ghum ko dekha hai. . .

Maine aasma ko dharti par zhuk kar sote hue dekha hai. . .

Maine chaand se chaandni ko bichadte hue dekha hai. . . 



Tum nahi jaan paaoge mere dard ki gehraai ko

Tumne mehlon ko kahan kabhi khandar bante dekha hai. . . 

Mere chehre ki udaasi kahan kabhi tumhain chuu payegi

Tumne kahan kissi phool ko shaakh par rote hue dekha hai. . .



Dekhne par aaye 

To har cheez dekhti hai duniya

Par in paththar aankhon se

Kahan kissi ne sachchaai ko dekha hai



Maine chaand ko aasmaan main rote hue dekha hai. . .
Maine suraj k angaaron ko pighaltae hue dekha hai. . .
Maine saagar ki lehron ko machaltae hue dekha hai. . .
Maine badal k peechae ki nami ko dekha hai. . .

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...