Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 29, 2012

Diye Jal Jaate Hain

Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Taarikiyo?n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati Hai
Aksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti Hai
Kyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti Ha
Ishaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Inn Waadiyo?n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati Hoon
Ye Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate Hain
Sehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke Neeche
Ye Aasmaa?n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa?n Giraate Hain
Shaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...