Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

"MUJHY NAKAAM LOGO MAIN SIR-E-FEHRIST REHNY DO"

"MUJHY NAKAAM LOGO MAIN SIR-E-FEHRIST REHNY DO"

Mere dil ki zameen pr ab
baharain ghair lagti hain
Sahar angez aankho ki
sadaen ghari lagti hain
Junoo matam nahe karta
wafaen zehar lagti hain
nigehban chaman ki
aarzoen zehar lagti hain
ye dil darya-e-wehshat hy
ye kab ejaz karta hay
khezan ki hukmrani hay
esi py naz karta hay
Mujy barbaad honey tak
zara sharshar rehny do

"MUJHY NAKAAM LOGO MAIN SIR-E-FEHRIST REHNY DO"

ye jin hatho ko qudrat hay
fana k istearay hain
rawan khushbo ka mosam hay
sitary he sitary hain
Abi soraj nahe nikla
abi faryad mat karna
abi zakhmo ko mat chona
sitam ko yaad mat karna
abi aik umr jari hy
zara wehshat c tari hy
Mujhy wehshat may rehny do

"MUJHY NAKAAM LOGO MAIN SIR-E-FEHRIST REHNY DO"

Mohabbat k fasany may

Meri chaht ka kalam hy
Magar main likh nahe sakta
Mery bazar apny hain
Magr main bik nahe sakta
Mera asbab lutny do
Mery ehbaab rehny do

"MUJHY NAKAAM LOGO MAIN SIR-E-FEHRIST REHNY DO"


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...