Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 9, 2011

Ik taza hakayat hai

Ik taza hakayat hai
Sun lo to anayat hai
Ik shakhas ko dekha tha
Taroon ki tarah hum ne
Ik shakhas ko chaha tha
Apnoon ki tarah hum ne
Ik shakhas ko samjha tha
Phuloon ki tarah hum ne
Wo shakhas qayamat tha
Kia uss ki karein batein
Din uss k liay piada
Aur uss ki hi theen ratein
Kab milta kissi se tha
Hum se theen mulaqatein
Rang us ka shahabi tha
Zulfoon main theen mahkarein
Ankhein theen k jadoo tha
Palkein theen k talwarein
Dushman bhi agar dekhein
So jaan se dil haarein
Kuch tum se wo milta tha
Baton main shabahat thi
Haan tum sa hi lagta tha
Shokhi main sharart main
Lagta bhi tumhi sa tha
Dastoor_e_muhabat main
Wo shakhas humein ik din
Apnoon ki tarah bhoola
Taroon ki tarah dooba
Pholoon ki tarah toota
Phir haath na aya wo
Hum ne to buht dhoonda
Tum kis liay chonkey hoo....?
Tum kis liay chonkey hoo
Kab zikar tumahara hai
Kab tum se taqaza hai
Kab tum se shikayat hai
IK TAZA HAKAYAT HAI
SUN LO TO ANAYAT HAI


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...