Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, December 30, 2013

Kheech Raha Ho Dum

Charon Janib Phail Giya Hai
Ek Rasta Ek Ghum 
Jese Koi Dheery Dheery
Kheech Raha Ho Dum
Charon Janib 
Jahan Bhi Jaaon
Sath Mein Tera Rasta Bhi Aa Jaye 
Jese Naari Gut Leharaye Yaa
Nagin Bal Khaye 
Youn Bhi Na Koi Dil Walon Ke 
Tan Man Mein Bass Jaye 
Charon Janib
Dil Se Tere Darwaze Tak 
Teri Aas Beechi Hai
Jahan Jahan Tak Nazarein Jayein 
Peeli Gaas Beechi Hai
Sath Mein Ek Rasta Hai
Jiss Par Teri Baas Beechi Hai
Charon Janib Phail Giya Hai
Ankhon Mein Kuch Aan Bassa Hai 
Mujh Ko Aisa Lage
Yaa Koi Khawaish Bal Khaye 
Yaa Koi Sapne Jaagy
Yaa Tera Rasta Hai Jaana
Dil Ke Aage Aage 
Charon Janib Phail Giya Hai
Ek Rasta Ek Ghum 
Jese Koi Dheery Dheery
Kheech Raha Hon Dum



 
 
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...