Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 4, 2013

Ye Srif Ek Imkan Tha

Dar Haqiqat Wo Mujhe
Bhool Giya Tha
Or Mere Guman Mein
 Ye Srif Ek Imkan Tha
Main Tu Bhattka Hua
 Ek Musafir Tha Bass
Wo Badi Khobsurat
 Ek Mazil Ka Rasta Tha
Main Tu Paharon Mein Hi
 Kehin Gum Giya Tha Jab
Khawab Maine
Sehraa Paane Ka Dekha Tha
Main Ye Sochta Tha Nazim
 Wo Hai Sath Mere
Tha Tou Sath Hi
 Magar Wo Dusraa Kinara Tha
Jiss Ki Khatir Main Tanhaa
 DarBaDar Phirta Rahaa Nazim
Afsus ! Wo Jiss Se Bhi Milta
Sath Ussi Ka Chahta Tha
Mera Talaq Rahaa Us Se
Sab Kuch Toot Jane Par Bi Nazim

Afsus ! Main Tha Hi Us Ka’

 Jane Wo Or Kya Chahta Tha


 ( Nazim Ali )





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...