Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 3, 2013

Us Ke Baad Wo Apne Saare Ghum

Mujhe Uddnein Ki Arzoo
Or Safar Pe Jane Ka Hoslaa De Giya
Phir Us Ke Baad Wo Apne Saare Ghum
 Meri Ankhon Ko De Giya
Han Mujhe Khabar Hai
Meri Sadaa Kahan Tak Jati Hai Nazim
Wo Rasta Mujhe Dekhaa Dekhaa Kar
 Phir Apna Rastaa Mujhe De Giya
Ghanne Jangal Mein Kisi Behti Naddi Ke
 Saye Mein Nazim
Wo Kehtaa Tha Hum Baithe Gaye
 Phir Bass Wo Aise Khawab Mujhe De Giya
Meri Zaat Ko Tottool Kar
 Meri Simat Sabhi Ko Rook Kar Nazim
Meri Nazaron Ko Sadiyon Tak
 Jo Bholay Na Wo Aahat Aisi De Giya
Bekhudi Ke Ujaale Mein Abb Tareek Raatein
Or Hai Tanhai Nazim
Sar-e-Tammana Wo Mera Tha, Mera Hi Tha
Dil Mein Dur Talak Uttari Hui
Ye Arzoyein Mujhe De Giya

 ( Nazim Ali )


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...