Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 4, 2013

Koi hakaa teri tasweer jesa


Qalam phir se uthaa kar rakh diya hai,

Kesi gham ne rula kar rakh diya hai,

Yeh meri zeest main kya morr aya hai,

Ke andar tak hilaa kar rakh diya hai,

Koi hakaa teri tasweer jesa,

Banana tha bana kar rakh diya hai,

Has-o-hashak ka ik ghar tha apna,

Hawaoun ne mitta kar rakh diya hai,

Raha bus yaad ik lamhaa ke jis ne,

Sehar sab kuch bhola kar rakh diya hai..





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...