Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 16, 2012

main tujhe chahta nahi lekin !

main tujhe chahta nahi lekin

phir bhi shab ki taweel khilwat mein


tere auqaat sochta hoon main


teri her baat sochta hoon main


kaunse phool tujhko bhaate hein


rung kya kya pasand aate hein


kho sa jaata hoon teri jannat mein!


main tujhe chahta nahi lekin


phir bhi reh reh ke mere kaano mein


goonjti hai teri hasi’n aawaaz


jese nadeeda koi bajta saaz


her sada nagawaar hoti hai


dil ki dharrkan bhi baar hoti hai


in sakoot aashna taraano mein!


main tujhe chahta nahi lekin


phir bhi jab paas tu nahi hoti


khud ko kitna udaas paata hoon


gum se apne hawaas paata hoon


jaane kya dhun samayi rehti hai


aek khamoshi chayi rehti hai


dil se bhi guftugu nahi hoti!


main tujhe chahta nahi lekin


phir bhi ehsaas se nijaat nahi


sochta hoon to runj hota hai


dil ko jese koi dabota hai


jisko itna sarahta hoon main


jisko is darja chahta hoon main


us mein teri si koi baat nahi!


main tujhe chahta nahi lekin
main tujhe chahta nahi lekin!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...