Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 16, 2012

Dulhan

Wo Jo Mai'yon Ke Peelay Joray Main
Mummed Mummed Muskati Hai
Sukhion Ki Masti Bhari Baato'n Per
Halka Halka Sharmati Hai
Wo Jo Dhol'ki Ki Thaap Per
Dil Dil Main Gungunati Hai

Wo Jo Haatho'n Ki Mehndi Ko

Piya Ke Pyar Ka Rang Batati Hai
Najany Kaunsay Pyaray Sapnay
Apnay Dil Main Sajati Hai
Phir Soch Ker Kuch Dil Main
Sir Hulka Sa Jhatkati Hai

Wo Jo Nikaah Ke Baad

Bichhernay Ka Soch Ker Sab Ko Rulati Hai
Phir Aanay Wali Nayi Zindagi Ke
Dil Main Khuab Sajati Hai
Phir Laal Rang Ka Pehen Ker Jora
Thora Thora Itraati Hai

Wo Jo Baabul Ke Aangan Main Khel Ker

Kisi Ka Ghar Sujanay Jati Hai
Khud Bhi Thora Roti Hai
Per Sub Ko Khoob Rulati Hai
Lekin Yeh Uss Ki Kismat Hai
Baiti Paraya Dhun Kehlati Hai
Yeh Hamari Dulhan Kehlati Hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...