Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 9, 2011

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye HuM To Kya,

miT gayaa jab miTane vaalaa phir salaam aayaa to kyaa

miT gayaa jab miTane vaalaa phir salaam aayaa to kyaa
dil kii barbaadii ke baad un kaa payaam aayaa to kyaa

chhuT gaiin nabzen ummiden dene vaalii hain javaab
ab udhar se naamaabar leke payaam aayaa to kyaa

aaj hii miTanaa thaa ai dil hasarat-e-diidaar mein
tuu merii naakaamiyon ke baad kaam aayaa to kyaa

kaash apanii zindagii mein ham ye manzar dekhate
ab sar-e-turbat koii mahashar-Khiraam aayaa to kyaa

saaNs ukharii aas TuuTii chhaa gayaa jab rang-e-yaas
naamaabar laayaa to kyaa Khat mere naam aayaa to kyaa

mil gayaa vo Khaak mein jis dil mein thaa armaan-e-diid
ab koii Khurshiid-vash baalaa-e-baam aayaa to kyaa






TuMne Suli Pe Latke Jise Dekha Hoga,
TuMne Suli Pe Latke Jise Dekha Hoga,
 WaQt Ayega Wohi Shakhs Masiha Hoga,

 Khwab Dekha Ya Ke Sehra Mein Basera Hoga,
 Kya Khabar Thi Ke Yehi Khwab To Saya Hoga,

 Main Fizaon Mein Bikhar Jaunga Khushbu Bankar,
 Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga...






TuMko HuM Dil Mein Basa Lenge TuM Aao To Sahi

TuMko HuM Dil Mein Basa Lenge TuM Aao To Sahi,
Saari Duniya Se Chhupa Lenge TuM Aao To Sahi,

Ek Wada Karo Ab HuMse Na Bichhdoge Kabhi,
Naaz HuM Saare Utha Lenge TuM Aao To Sahi,

Bewafa Bhi Ho SitaMgar Bhi Jafa-Pesha Bhi,
HuM Khuda TuMk Bana Lenge TuM Aao To Sahi,

Yun To Jis SiMt Nazar Uthti Hai Tareeki Hai,
Pyaar Ke Deep Jala Lenge TuM Aao To Sahi,

Ikhtalfaat Bhi Mit Jayengi Rafta Rafta,
Jis Tarah Hoga Nibha Lenge TuM Aao To Sahi,

Raah Tareek Hai Aur Door Hai Manzil Lekin,
Dard Ki ShaMein Jala Lenge TuM Aao To Sahi...








Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko
 

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko,
 Taras Rahai Hoon Un Hi Ki Haseen Baahon Ko,

 QadaM QadaM Pe Wo Aankhein Bichha Bichha Dena,
 Zaroor Yaad To Hoga TuMhari Raahon Ko,

 Duhayi Hai Teri Aye Rahzaan Duhayi Hai,
 Ke Aaj Loot Liya Rehbar Ne Raahon Ko,

 Mile Na Phir Tere DaMan Mein Daag Unke,
 Sharab-E-Naab Se Dhoya Hai Jinki Aahon Ko...

 





Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye HuM To Kya
 

Zinda Rahein To Kya Hai Jo Mar Jaye HuM To Kya,
Duniya Mein KhaMoshi Se Guzar Jaye HuM To Kya,

Hasti Hi Apni Kya Hai ZaMane Ke SaMne,
Ek Khwab Hai Janah Mein Bikhar Jayein HuM To Kya,

Ab Kaun Muntazir Hai HaMare Liye Wahan,
ShaaM Aa Gayi Hai Laut Ke Ghar Gaye HuM To Kya,

Dilki Khalish To Sath Rahegi TaMaM UMr,
Dariya-E-GaM Ke Paar Utar Jaye HuM To Kya...






Jb kbi bhi suno gy naam mera
 

Jb kbi bhi suno gy naam mera,
mann hi mann mei muskrao gy,
wo baharein,, wo chandni raatein,
hm ne ki then Jo pyar ki baatein,
Un nazaron ki Yaad aaye gi,
Jb khayalon mei muJ ko lao gy,
mere hathon mei tere chehra tha,
Jese koi Gulab hota hai,
aur sahara liya tha bahon ka,
wo smaa'n kis trah bhulao gy,
muJ ko dekhe binna qrar na tha,
ak aesa bhi Dorr guzra hai,
Jhoot maano to poch lo Dil se,
main kahon gi to rooth Jao gy,
 Tm muJe Yun bhulao na pao gy....







Jb Yaad mazi kr k roya kro gy tm
Jb Yaad mazi kr k roya kro gy tm,
 neend aay gi na soya kro gy tm,
 Us waqt tmhein meri Yaad bohat staye gi,
 Jb ksi se aankh milaya kro gy tm,
 tarpe Dil aur aah bhi na nikle zuban se,
 chup chap aansoun ko bahaya kro gy tm,
 Jazbat mei aa kr Jla dein meri sari Yaadein,
 ab kis tarah Jee ko behlaya kro gy tm,
 "Mout" to barhaq hai "Juda" kr k hi chore gi,
 waada kro meri qabar pe aaya kro gy tm...







Payaam aaye hain Us Yar_e bewaafa k mujhe 
Payaam aaye hain Us Yar_e bewaafa k mujhe
 Jise qraar na aaya kahin bhula k mujhe

 Nashay se kahon to nhi Yad_e Yar ka aalam
 k ly ura hai koi dosh par Hawa k mujhe

 Judaaiyan hon to aesi hon k umr bhar na milein
 Farib to do zra silsily barha k mujhe

 Main khud ko bhool chuka tha magr Jahaan wale
 Udaas chor gaye aaina dikha k mujhe.. .







Dunya k sitam Yad na apni hi waafa Yad
Dunya k sitam Yad na apni hi waafa Yad
 ab muJ ko nhi kuch bhi muhabt k siwa Yad,

 chaerra tha Jise pehly pehal teri nazr ne
 ab tk hai wo ik naghma be'saz_o sda Yad,

 kya lutf keh main apna pta aap btaaon
 kiiJiye koi bhooli hui khas apni adda Yad,

 Jb koi Haseen hota hai sargarm_e nawazish
 us waqt wo kuch aur bhi aate hain sawwa Yad,

 kya Janiiye kya hoga arbab_e Junno'n ko
 marne ki adda Yad na Jeene ki adda Yad,

 mudat hui ik hadsaa_e ishq ko lekin
 ab tk hai tere Dil k dharakne ki sda Yad..!!






naqsh yadon ka mitaati he to ro parti hay 
naqsh yadon ka mitaati he to ro parti hay
 wo mera khatt jo jalati he to ro parti hay


 khoon dikhta he mery marty hoye supno ka,
 khuwab ankhon main basati he to ro parti hay


 log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
 baat logon se chupaati hay to ro parti hay


 yaad karti he mujhy toot kar us lamhe,
 shaam chehra jo dikhaati hai to ro parti hai


 wo bary zubt bhary hosly wali lerki,
 ghum ko tahreer banati he to ro parti hai







Mila wo b nhi krte

Mila wo b nhi krte !
 mila hm b nhi krte !
 waafa wo b nhi krte !
 khtta hm b nhi krte !
 Unhein ruswai ka dukh hai !
 hmein tanhai ka dukh hai !
 gila wo b nhi krte !
 gila hm b nhi krte !
 ksi morr pe Takrao aksar ho hi Jata hai !
 ruka wo b nhi krte !
 ruka hm b nhi krte !
 Jb b dekhte hain Unhein !
 sochty hain kuch keh dein Un se !
 suna wo b nhi krte !
 kaha hm b nhi krte !
 lekin Ye bhi sach hai k !
 muhabt Unhein bhi hai !
 muhabt hmein bhi hai !
 bola wo b nhi krte !
 zikar hm b nhi krte !!!





Humara Ye tm ko salam aakhri hai
Humara Ye tm ko salam aakhri hai,
Suno! AaJ tm se kalam aakhri hai

agr ho ske to bhula dena hm ko
Yehi ik chota sa kam aakhri hai,

abhi aarzuon k sehraa hain peyaase
magr aansuon ka Ye Jaam aakhri hai,

mareez_ muhabt ki Ay chaara'saazo
tmhare shehr mein Ye shaam aakhri hai,

zra der thehro qaza k Farishto
labon pe hmare payaam aakhri hai,

koi mil ske ga na mere Jaisa,
Tere Husan ka Ye Ghulaam aakhri hai...!







Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein
Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
 Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,

 Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
 Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,

 Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
 Aur Kahein Aur Mubtala Ho Jayein,

 IshQ Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
 Khaak Ho Jayein Kimiyan Ho Jayein,

 Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse,
 Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein,

 Bandagi Humne Chhod Di Hai 'Faraz',
 Kya Karein Log Jab Khuda Ho Jayein...








Apne Ehsaas Ki Shamma Ko Jalaye Hue Rakhna
 

Apne Ehsaas Ki Shamma Ko Jalaye Hue Rakhna,
 Ek Dard Sa Seene Mein Jagaye Hue Rakhna,

 Aas Paas Bikharna Apni Yaadon Ke Sab Moti,
 Maazi Ke Sab Kirdaron Ko Bulaye Hue Rakhna,

 Ilfaaz Ki Saugatein Jitni Bhi Milein Kam Hai,
 Kadi Se Kadi Mila Kar Zanjeer Banaye Hue Rakhna,

 Tanha Na Kabhi Rehna Ahbaab Ki Mehfil Mein,
 Yaadon Ke Kisi Hajoom Ko Bikhraye Hue Rakhna,

 Lamhon Ke Tasalsul Ko Hafon Ka Roop Dena,
 Jazbon Ko Apne Simtaye Hue Rakhna,

 Gaafil Na Kabhi Hona Dil Ke Badalne Se,
 Sar Apni Ana Ka Har WaQt Uthaye Hue Rakhna,

 Tanhayi Ke Alam Mein Milna Tum Kabhi Khud Se,
 Par Ehsaas Ke Sehar Se Khudko Bachaye Hue Rakhna...







Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai
Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai,
Ab Pyaar Tujhe Har Din Maah-O-Saal Karna Hai,

Aage Bhi Badhna Hai Aur Tum Ko Bhi Paana Hai,
Khudase Bas Ek Yehi Sawal Karna Hai,

Kami Hogi Na Agaz Ta Anjaam-E-Mohabbat,
Dekho Humne Ab Ye Kamal Karna Hai,

Dar Na Jaana Kahin Zamane Ki Gardishko Dekh Kar,
Sirf Raat Aur Sawereka Khayal Rakhna Hai,

Jitni Bhi Aayein Nafratein Raaste Mein Tumhare,
Be Khauf-O-Khatar Sabko Pa'emal Karna Hai,

Anjaam Is Tarah Se Ho Ke Rutt Hi Badal Jaye,
Bilal Ezaton Ka Bhi Anee Magar Khayal Karna Hai...






Bekhudhi Le Gayi Kahan Humko
Bekhudhi Le Gayi Kahan Humko,
Der Se Intezaar Hai Apna,

Rote Phirte Hai Sari Saari Raat,
Ab Yehi Rozgaar Hai Apna,

Deke Dil Hum Jo Ho Gaye Majboor,
Is Mein Kya Ikhtiyaar Hai Apna,

Kuchh Nahi Hum Misaal-E-UnQaa Leke,
Sheher Sheher Ishtehaar Hai Apna,

Jisko Tum Aasman Kehte Ho,
So Dilon Ka Gubaar Hai Apna...



 




Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi
Ek Hi Dharti Par Karte Hai Dono Rain Basera Bhi,
 Neel Gagan Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi,

 Rang-O-Nasl Ka Jhagda Kaisa, Kumba Ek Qabila Ek,
 Tera Khoon Ka Laal Hai Rang, Waisa Hi Rang Mera Bhi,

 Tera Mera Mazhab Kaisa, Pyaar Hi Sabka Mazhab Hai,
 Ek Khuda Hai Tera Bhi Aur Tera Khuda Hai Mera Bhi,

 Kaun Kisika Dost Hua, Jab Haath Mein Sabke Khanjar Ho,
 Band Pitare Mein Rakhta Hai Apna Saanp Sapera Bhi,

 Diar Hui Jab BurQ, Giri Thi, Ab Tak Wehshat Tari Hai,
 Thak Kar Sooraj Dooblega To Chhayega Andhera Bhi...









Ye Kya Ke Har Dam Kisi Ki Minnatein Karna
 

Ye Kya Ke Har Dam Kisi Ki Minnatein Karna,
Kya Isi Ko Kehte Hai Mohabbatein Karna,

Jo Apni Qismat Mein Hai Milega Wohi,
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shikayatein Karna,

Ye Pagalpan Nahi To Aur Kya Hai Phir,
Zameen Ke Hokar Aasman Se Bagawatein Karna,

Bahut Kar Chuka Hai Logonse Pyaar Ye Dil,
Ab Koi Sikhaye Isko Bhi Nafratein Karna,

Pehle Yaad Karna Use Phir Rote Rehna,
Jaane Kab Chhodega Dil, Ye Harkatein Karna...








Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De 
 Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De,
 Mere Baazu Meri Aankhein Mera Chehra Laa De,

 Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samundar Mein Gire,
 Isse Behtar Hai Ke Mujhko Mera Sehra Laa De,

 Kuch Nahi Chahiye Tujhse Meri Aye Umr-E-Rawan,
 Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudiya Laa De,

 Jiski Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Padh Sakti Ho,
 Koi Chehra To Mere Sheher Mein Aisa Laa De,

 Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kayi Barso Se,
 Aye Khuda Ab To Dubo De Ya Kinara Laa De...



Tez Jhonka Na Seh Saka Patta 



Tez Jhonka Na Seh Saka Patta,
Shaakh Se Toot Kar Gira Patta,

Zard Roo Sa Muda Tuda Patta,
Aye Aandhi Hua Hawa Patta,

Main Bhi Tha Zeb-E-Gul Hara Patta,
Zer-E-Pa Hai Ye Keh Raha Patta,

De Slaa Rabt Pair Se Rakhna,
Fasl-E-Gul Ka Yeh Gamzada Patta,

Besaharon Ki Zindagi Jaise,
Pair Ke Saaye Mein Pada Patta,

Hum Bhi Ra'na The Yun Kabhi,
Jaise Gulzaar Ka Hara Patta...







Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai
 

 Suraj Sar Pe Aa Pahucha Hai,
 Saaya Bhi Chhupta Jaata Hai,

 Aisi Hi Muskaan Tumhari,
 Guncha Jaise Khil Jaata Hai,

 Zakhm Laga Ke Wo Kehte Hai,
 Bol Re Sajan Tu Kaisa Hai?

 Baatein Kar Imroz Ki Pyaare,
 Chhod De Usko Jo Farda Hai,

 Is Duniya Mein Ulfat Dhunde,
 Kuch Kuch Diwana Lagat Hai...





Aankh Jab Band Kiya Karte Hai
 

Aankh Jab Band Kiya Karte Hai,
 Zinda Aap Hua Karte Hai,

 Aap Jaisa Hi Mujhe Lagta Hai,
 Sapno Mein Jisse Mila Karte Hai,

 Tu Agar Chhod Ke Jaata Hai To Kya,
 Haadse Roz Hua Karte Hai,

 Naam Unka Na Koi Unka Pata,
 Log Jo Dil Mein Raha Karte Hai...






Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga
Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga,
 Jiski Har Baat Mehez Khushbu Hai,

 Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,
 Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,

 Mere Ehsaas Pe Chha Gaye Hai Yun,
 Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

 Har Taraf Uska Aqs Hai Ab To,
 Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,

 Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,
 Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...



 

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye
 

Gazab Hai Justuju-E-Dil Ka Ye Anjaam Ho Jaye,
 Ke Manzil Door Ho Aur Raaste Mein Shaam Ho Jaye,

 Wohi Naala Wohi Nagma Bas Ek Tafriti Lafzi Hai,
 Qafas Ko Muntashir Kar Do, Nasheman Naam Ho Jaye,

 Ye Aalam Ho To Inko Behijabi Ki Zaroorat Kya,
 Naqab Uthne Na Paye Aur Jalwa Aam Ho Jaye,

 Ye Mera Faisla Hai Aap Mere Ho Nahi Sakte,
 Main Jab Jaano Ke Ye Jazba Mera Nakaam Ho Jaye,

 Abhi To Dil Mein Bahut Halki Si Khalish Mehsoos Hoti Hai,
 Bahut Mumkin Hai Kal Iska Mohabbat Naam Ho Jaye.

2 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...