Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, February 1, 2013

TUMHARE BINA

Aksar Sochta Hoon, Tum Na The Zindagi Me
To Kaisi Thi Ye Zindagi Tumhare Bina
Ab Jo Tumhe Paya Hai
Kaisi Hai Ye Zindagi Tumhare Bina

Tum Na The Zindagi Me Jab
Zindagi Se Koi Shikayat To Na Thi
Tum Se Milne Ke Pehele
Hame Kabhi Pyar Ki Zaroorat Bhi To Na Thi

Tumhare Aane Se Pehele Tanha Tha
Zindagi Me Koi Tanhai To Na Thi
Aye To Ho Tum Zindagi Me Bahaar Bankar
Ab Tanhai Ka Ehsaas Hota Hai Tumhare Bina

Duniya Rangeen Lagti Hai, Mehfil Saji Si Lagti Hai
Tum Saath Ho To Har Mushkil Aasan Si Lagti Hai
Duniya Wahi, Log Bhi Wahi,
Phir Sab Kuch Badlaa Kyon Lagta Hai Tumhare Bina

Raaste Wahi, Wahi Musafir,
Phir Sab Kuch Dhundla Kyon Lagta Hai Tumhare Bina
Bheed Me Akela, Bhari Mehfil Me Tanha
Paata Hoon Apne Aap Ko Tumhare Bina

Tumhe Kya Pata Meri Jaan
Kitna Adhura Hoon Main Tumhare Bina
Zindagi Ki Har Raah Suni Lagti Hai Tumhare Bina
Raaste Kho Gaye, Manjil Bhi Kho Gayi,

Ab Sab Kuch Ajeeb Sa Lagta Hai Tumhare Bina
Chain Sukoon Sab Kho Gaya, 
Ab Kuch Achcha Nahi Lagta Tumhare Bina
Kadam To Kya, 
Saanse Bhi Ruk Ruk Kar Chalte Hai Tumhare Bina
Dar Lagne Laga Hai Zindagi Se

Zindagi Katti Nahi Tumhare Bina
Apne Liye Maut Bhi Maang Leta
Maut Bhi Hame Chune Se Darti Hai Tumhare Bina
 
 
 

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...