Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, February 2, 2013

Bass Zara Hai Mujh Se Door Wo

Jo Meri Ankhon Mein Bassa Hai Meri Zindagi Hai Wo 
Khawab Tu Nehin Lekin Khawab Sa Musafir Hai Wo 
Koi Poch Beathay Tu Matt Usse Bata'na Nazim 
Mujhe Chahta Hai Mujhe Sochta Hai Mera Hi Hai, 
Bass Zara Khafaa Hai Wo 
Ghum se Choor Choor Hai Koi Sayah Bi Muyesser Nehin 
Sab Ke Beech Tanhaa Hai Ansu Bhare Hain Ankhon Mein, 
Bass Zara Ziddi Hai Wo 
Koi Moj Aa Ke Thehar Jaye Sahilon Ke Pehlon Mein 
Samander Hain Meri Ankhein Or Sahil Hai Wo 
Manzil Tu Hai Samne Magar Us Ka Rasta Hai Khathan 
Sath Sath Mil Kar Chal Rehin Hain 
Bass Zara Hai Mujh Se Door Wo

(Nazim Ali)



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...