Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, January 31, 2013

Main Doob Jana Chahta Hoon


Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai
Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon

Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta
Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon

Woh Sab Tohfey
Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main
Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta
Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon….!
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...