Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 2, 2012

Aankhain Likhta Rehta Hoon

Cherey Parhta, Aankhain Likhta Rehta Hoon
Main bhi kaise batain likhta rehta hoon
Saray jism darakhtoon jaisi lagti hain
Aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon
Tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gaya
Aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon
Tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
Tere naam kitabain likhta rehta hoon
Tujh se mill ker saray dukh dohraoon gee
Hijr ki sari batain likhta rehta hoon
Sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
Teri sab soghatain likhta rehta hoon
Un ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk GAZALEIN likhta rehta hoon







No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...