Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, June 2, 2012

Bichre Hue Logon Ko Woh Roya Bhi Buhat Hai

Jo Dard K Sehra Mein Akela Bhi Buhat Hai
Us K Liye Deewar Ka Saaya Bhi Buhat Hai
Daikha Nahi Tanhai Mein Tum Ne Kabhi Usko
Bichre Hue Logon Ko Woh Roya Bhi Buhat Hai
Kuch Tujh Ko Muhabbat Par Yakeen Tha Na Wafa Par
Kuch Dukh Meri Taqdir Mein Likha Bhi Buhat Hai
Beenai Andheron Se Bhala Kaise Bachata
Ek Shakhs Tere Hijr Mein Jaga Bhi Buhat Hai
Wo Aur Hain Jo Chho Ka Tujhe Daikhna Chahen
Mujh Ko Tu Mere Khuwab Ki Dunya Bhi Buhat Hai
Kirdaar Se Mehroom Tha Yeh Shehr So Us Ne
Hum Ko Dar-O-Deewar Pe Likha Bhi Buhat Hai
Teri Ruswaiyon K Dar Se Hum Khamosh Hain Warna
Likhnay Pe Aao’on To Qalam Say Sar Qalam Kar Do





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...