Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, March 25, 2012

Suno piyare

Suno piyare.
Mujhe malum he aasan lagta he.
Tumhen rahen badal lena.
Koi bhi mor mur jana.
Kisi manzil ko thokar mar kar wapis chale ana.
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se.

Bht nazdeek le ana.
Mujhe malum he piyare.
Bht aasan he tum ko wapis palat jana.
Meri tum be-basi dekho.
Mujhe tum se mohabbat k siwa kuch nhi ata.
Magr is min bhi kab koi qareena seekh payi min.

Ye dekho aankh rona chahti he.
Phir bhi banjar he.
Ye dekho hath kitne sard hen mere.
Ye dekho dil ki dharkan kis trah tarteeb kho kar doobne ko he.
Ye dekho mera aanchal mere hathon se phisal kar urh gaya kab se.
Ye dekho sans ki dori bhi mujh se chootne ko he.
Mere ehsas ka resham ulajh kar tootne ko he.

Mujhe to ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne zakhmon ko chupate hen?
Ya kese dard ko derman banate hen?
Ya kese roothti sanson ka daman.
Tham kar wapis bulatay hen?
Bht be-khwab aur wiran mosam min.
Khafa neendon ko kya keh kar manate hen?

Mujhe ye hunar bilkul nhi ata.
K kese apne mar jane pe nohe ap karte hen?
Ya apne hi gale lag kar dilasa kese dete hen?
Phir apni hi laash ko kese.
Kisi payab darya.
Ya kisi ki adh bujhi taza chita min jhonk dete hen?
Ya phir aakash k neeche khula hi chor dete hen?
I
Mujhe to ye hunar bilkul nhin ata.
K kese zard mosam min.
Kisi bhi sard aur be-dard mosam min.
Khushi ka aik bhi ghuncha.
Bhala kese khilate hen?
Ya kese aadhe raste se gharon ko lout jate hen?

Mujhe bilkul nhi ata.
Mujhe tum se mohabbat k siwa.
Magr wo bhi kahan ayi.
Koi hunar bilkul nhi ata

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...