Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, March 25, 2012

Likha Badal Laitay

Kahi Tum Apna Likha Badal Laitay
Tu Shayed Ham Bhi Apna Kissa Badal Laitay


Gar Ham Waqaii Kam-Hosla Hotay Mohabbat Main
Marz Bharnay Say Pehlay He Dawa Badal Laitay


Tumharay Rah Badalnay Ke Jo Hamay Pehlay Khabar Hoti
Bohat Pehlay He Apna Fesla Badal Laitay


Tumhay In Mousam Ke Kia Khabar Mitli Ager Ham Bhi
Ghutan Kay Khouf Say Aab -o- Hawa Badal Laitay


Tumhari Tarah Jeenay Ka Hamko Hunar Aata Tu Shayed
Makan Apna Wahi Rakhtay Pata Badal Laitay \


Is Kahani Main Bhi Wahi Kirdaar Thay Bas Faqat
Kabhi Chehra Badal Laitay Kabhi Kaaba Badal Laitay


Aaj Yeh Halaat Nahi Hotay Zindagi Bhi Sehal Hoti
Jo Ham Zid Na Kartay Apna Apna Rasta Badal Laitay


Hamaysha Ke Tarah Is Baar Bhi Ham Bol Uthay Warna
Gawahi Denay Walay Waqeeya Badal Laitay


Bohat Dhundla Gaii Hai Yadoon Ke RimJhim Main
Wo Mil Jaata Tu Shayed Ham Bhi Aaina Badal Laitay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...