Nazim's poetry

Nazim's poetry

Sunday, March 25, 2012

Use gham kiyon nhi hota ?

Kabhi gham yon bhi hota he.
K sansen toot jati hen.
Kisi ki raah tak tak kar.
Nigahen sookh jati hen.
Jinhen aana ho jeewan min.
Wohi aane nhi pate.
Jinhen aana ho khwabon min.
Wo raste bhool jate hen.

Kabhi gham yon bhi hota he.
Jahan dil apna khilta he.
Wahin mosam badalta he.
Humen jo nam lena ho.
Amanat aur ki ho wo.
Humen jo bat karni ho.
Sira wo mil nhi pata.

Kabhi gham yon bhi hota he.
Jahan phoolon ki aahat ho.
Khizan bhi tan k aati he.
Koi dharkan sunaye gi.
Humen kya raz ki baten.
Kabhi jab aankh dil par ho.
To dil hi mil nhi pate.

Kabhi gham yon bhi hota he.
K lawa beh nhi pata.
Khwahish aisi hoti he.
Magr hum ro nhi sakte.
Sar-e-maqtal khare ho kar.
Kabhi tum ko pukaren to.
Sadaen mil nhi saktin.

Kabhi gham yon bhi hota he.
K mar jane ko dil chahe.
Koi marne nhi deta.
Kabhi gham yon bhi hota he.
Humen hi gham kiyon hota he?
Use gham kiyon nhi hota?????

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...