Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, January 28, 2012

keh jeena to yahan mehenga bohot hai

mujhay us shaks ki parwa bohot hai 
jo samjho to yehi rishta bohot hai 

wohi aik baat jo sab se chupai 
usi ik baat ka charcha bohot hai 

wo mere paas kab thehra hai akhir 
jo mere paas say guzra bohot hai !! 


meri khuwahish kabhi puri na hogi 
mujhay is baat ka sadma bohot hai



kisi ko bhoolna mumkin nahi hai 
wagarna hum ne to chaha bohot hai 


kahan tak aur mera saath daiga 
vo pehlay hi yahan ruswa bohot hai 

tere jaisa koi milta nahi hai 
tere jaisa magar dhoonda bohot hai 

chalo ab mout ka samaan kar lain 
keh jeena to yahan mehenga bohot hai



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...