Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, January 28, 2012

Main Jo Bichraa Tu kabi Hath Nehin Aao ga

Jab zakham dehakne wale hon
or khushbo pegaam milein
or apne dareedah-edaman ke
jab chak selein 
Dil dhukta hai
jab ankhein khud se khwab bunnein
khwabon mein baseray chehron ke 
jab bheer lage 
is bheer mein jab tum kho jao
dil dukhta hai
jab habbas barhe tanhai ka
jab khwab jalein
jab ankh bhujhay
tum yaad aao 
dil dukhta hai

 Dil ko ghum se nikhar dala hai 
hum ne khud ko sanwar dala hai 
jis pe puvind tha teri zid ka 
parhan wo uttar dala hai 
hum ne mana fana tera chehra 
phir bi tujh ko sanwar dala hai
sozz ko zindagi atta kar ke 
maine har saaz mar dala hai 
zairaa qarz tha mohabbat ka 
aaj wo bi uttar dala hai






Khud Bhujaa Date Hain
Bhujte Hue Sare Hi Chiraag
Hum Hawon Ka Ye Ahsan Nehin Lete Hain...!!!
Main Jo Bichraa 
Tu kabi Hath Nehin Aao ga 
Main Mohabbat Hon 
Mujhe Dil Se Laga kar Rekh....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...