Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, July 30, 2011

SAB KUCH TU TERE PASS HAI...

SAB KUCH TU TERE PASS HAI...
Tu phir kiyon dil udass hai?....
Hai piyar bhi tere liye....
Khayal bhi tere liye....
Ye dil bhi tere pass hai....
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Main sochta hoon bas tujhe...
Main dekhta hoon bas tujhe...
Jab mujh pe etebaar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye...
Ye sab jo tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udaas hai?...
Too neend main, tu khwab main...
Too mere dasht-o-aab main...
Har pal too mere saath hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Har simt hain gul khile houe....
Hain dost bhi mile houe...
Har simt piyar hi piyar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Ye dil, khushi or etebaar...
Ye dost, khwab or ye piyar...
Sab kuch tu tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?
 
 

Usey Kehna....

Usey Kehna....
Mukammal Kuch Nahi Hota....
Milan bhi na mukkamal hai....
Judai bhi adhori hai...
Yahan ek mout pori hai!...
Usey kehna...
Udaasi jab ragoon main....
khoon ki manind utarti hai....
Bohat nuksaan kerti hai!....
Usey Kehna....
Bisaat-e-Ishq pe jab mout hoti hai....
Dhukoon k sheher main jab raat hoti hai.....
Mukkamal bas KHUDA ki Zaat hoti hai
 
 

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee,

Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee,
Jo lehron se mit jaati hay,
Main baarish ki barasti boond nahee,
Jo baras ker tham jaati hay,
Main khwab nahee,
Jisey dekha aur bhula dya,
Main shama nahee,
Jisey phoonka aur bujha dya,
Main hawa ka jhonka nahee,
Jo aaya aur guzar gaya,
Main chand bhi nahee,
Jo raat k baad dhal jaye,
Main to woh ahsaas hoon,
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay,
Main to woh rang hoon,
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay,
Main woh geet hoon,
Jo teray labon se juda na hoga,
Main to woh parwaana hoon,
Jo jalta rahayga magar fana na hoga,
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah..
Chand,boond,shama ki tarah,
Meray mitnay ka sawaal nahee,
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN...
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee....!!
 
 

Kahin Barish baras jaaye......

Kahin Barish baras jaaye......
Kahin Darya taras jaaye...
Kahin aa kar Gata theray...
Tumhere or mere darmiyaa....
Aaa kar KHUDA therey..
To Us lamhay mere jivan main.....
Tum KHUDA ke baad aatey ho....
Mujey tum yaad aatey ho...
Mujey tum yaad aatey ho..
 

raat ki khamoshi mein aksar yaad tum ajatay ho,

raat ki khamoshi mein aksar yaad tum ajatay ho,
lamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho,
kabhi badal ki tarah aa kar rim jhim baras jatay ho,
kabhi sooraj ban kar kirnon ki tarah bikhar jatay ho,
kabhi andharay mein aa kar apnay deep jalatay ho,
khamoshi mein bhi mohabbat k geet gungunatay ho,
lekin!!!!!!,
lamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho,
kabhi phoolon ki tarah pora aalam mehkatay ho,
kabhi maujon ki tarah aa kar palat jatay ho,
kabhi be intiha muskuratay ho kabhi be inteha satatay ho,
magar phir be meray dil mein utartay jatay ho,
phir har dafa aa kar mohabbat ka ik naya rukh dikhatay ho,
lekin....
lamha lamha tarpatay ho lamha lamha tarsatay ho....


 

YA MERI SANS RUK JAE...!!!

Labon ki sersarahat se,
Badan k chur hone tk,

Mn tujh ko is trhan chahun,
K meri saans ruk jae,

Khatao'n per khata'ain hun,
Na ho kch bt kehne ko,

Mn tujh mn yuun sama jaun,
K meri sans ruk jae,

Na himmat tujh mn ho baqi,
Mgr itna qareeb aun,

K meri sans ruk jae,
Tere honton pe jab rkhun,

Mn apne hont kch aese,
Ya teri pyas bujh jae,

YA MERI SANS RUK JAE...!!!

Labon ki sersarahat se,
Badan k chur hone tk,

Mn tujh ko is trhan chahun,
K meri saans ruk jae,

Khatao'n per khata'ain hun,
Na ho kch bt kehne ko,

Mn tujh mn yuun sama jaun,
K meri sans ruk jae,

Na himmat tujh mn ho baqi,
Mgr itna qareeb aun,

K meri sans ruk jae,
Tere honton pe jab rkhun,

Mn apne hont kch aese,
Ya teri pyas bujh jae,

YA MERI SANS RUK JAE...!!!

Friday, July 29, 2011

Tumhain JaanaN ijazat hai......

Tumhain JaanaN ijazat hai......
Koi bhi raasta chun loo..........
Humaray muntazir tehro........
Ya hum ko alwida keh do........
Tumhain JaanaN ijazat hai......
Humaray paoon main tou.......
Waqt ki zanjeer liptii hai.........
Qabal is k, k thak jaoo..........
Humaray saath chal k tum......
Mohabbat ki thakawat tum ko..
Hum say bad-guma'an kar day.
Qabal is k, k har aik..............
Har aik wapsi ki raah khoo jaye
Jo socha bhi nahi hum nay......
Wohi kal ko jo ho jaye...........
Tumhain JaanaN ijazat hai......
Koi bhi faisla kar lo...............
Humaray muntazir tehroo......
Ya hum ko alvida keh do........
Humara tum say ye wada hai..
Tumharai yaad ko hum tou.....
Sada dil k dareechay main......
Youn he aabad rakhain gain....
Tumhain hum yaad rakhain gain
Tumhain JaanaN ijazat hai.......
Tum apnay hosloon main jub....
Thakawat see kabhi paoo.......
Kisi piyaray say mukhray ki......
Haseen aankhon main kho jaoo.
Ijazat hai tumhain JaanaN.......
Agar is pal jo tum chahoo........
Koi bhi faisla kar lo................
Humaray muntazir tehroo.......
Ya hum ko alvida keh doo......

Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho...!!



Tujhse ab itni muhabbat b nae rkhni hy

Raat din hijar ki wehshat b nae rakhni hy,
Tujhse ab itni muhabbat b nae rkhni hy,
Jis ka ji chahy hme tor k tukrey kardy,
Is qadar narm tabiyt b nae rkhni hy,
IK do saal k rishton se hme kia hasil,
Ik do pal ki rafaqat b nae rkhni hy,
Jin se bicharnein to smbhalne mn zamany lg jayn,
Aise logon se muraw'wat b nae rkhni hy,
Kia ajab haal hy chahhat k talbgaron ka,
Shoq bikne ka hy, Qeemat b nae rkhni hy...!!!

Kash Aisa Hua Hota..!!!

Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota...!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota...!!!
                     ( Nazim Ali )



Koi or Tumhara Hota...!!!

Chup Rahoo Khuda ke Liye

Bicharna Bi Nehi Aata...!!!

Ankhien Bhi Wohi Hain

Wajood apna na rooh apni,

Wajood apna na rooh apni,
Ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil lagi mn sakoon paya,
Na ashqi mn qarar paya,

Na wasl lamhy hi raas aye,
Na firaq hi hm guzar paye,

Ajeeb chahat k marhaly hyn,
Na jeet paye na haar paye,

Na teri yadoon ki dhund utri,
Na dil k daman ko jhaar paye,

Na ankhen khawab ko dhoond paain,
Na khwab ankhon ko dhund paye,

IK tmasha ye zeest thehri...!!!


Thursday, July 28, 2011

Kal halki halki barish thi..

Kal halki halki barish thi..
kal sard hawa ka raqs bhi tha..
Kal phool bhi nikhray nikhray the..
Kal un main app ka aqs bhi tha..
kal badal gehray kaale the......
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke..
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien..
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the..
Kal yaad buhat tum aye the..


Kal halki halki barish thi..

Koi Zanjeer Ban Jaana.....

Koi Zanjeer Ban Jaana.....
Humein Manzoor Hi Kab Tha.....!
Hamesha But Shikan Thehre.....
Humein Kab Ye Sikhaya Tha.....
"...Kabhi Toota Bhi Jaata Hai..."
Faqat Toora Nahi Jata.....
Mager Qismat Mein Likha Tha.....
Ager But Ab K Na Toota.....
Tu Tum Tooto Gi Har Surat.....
Ager Zanjeer Na Tooti.....
To Tum Ko Tootna Hoga.....
Mere Har Simt Bikhari Thi.....
Koi Zanjeer Aahan Ki.....
Nahi Tooti..........
Nahi Tooti Mere Haathon......
K Haathon Ko Perha Jab To.....
Faqat Itna Likha Tha.....
Chalo Tooto, Chalo Tooto.....
Mere Har Ek Jhatke Ne.....
Isse Bakhshi Thi Mazbooti.....
Wo Pal K Meri Taqat Pe.....
Mujhi Pe Is Qader Barsi.....
K Mere Hosh The Rukhsat.....
K Meri Yaad Se Nikla.....
K Wo Zanjeer Thi K Mein.....
K Wo Tooti K Mein Tooti.....!
Mager Ab To Lagta Hai.....
K Mein Zanjeer Aahan Hoon.....
Ya Uski Ek Karri Hoon Mein.....
Jisse Jo Bhi Chahe Jahan Chahe.....
Juda Ker De Wo Karriyon Se.....
Mujhe Jhatke Wo Is Darja.....

K Mein Rukhsat...........
Meri Aawaaz Tak Rukhsat.........


Ik sham kahin abaad to ho

In Jheel si gehi aankhon mein..

Ik sham kahin abaad to ho

Us jheel kinaray pal do pal

Ik khawb ka neela phool khilay

...Wo phool baha dein lehron mein

Ik roz kabhi hum sham dhaley

Us phool k behte rangon mein

Jis waqt lazarta chand chalay

Us waqt kahin un aankhon mein

Us bisray pal ki yaad to ho

In jheel si gehri aankhon mein

Ik shaam kahin abaad to ho..


Phir chahy umer samandar ki

Har mauj pareshaan ho jaye

Phir chahe aankh dareechay se

Har khawb guraizaan ho jaye

Phir chahe phool ke chehre ka

Har dard numayan ho jaye

Us jheel kinarey pal do pal

Woh roop nagar ejaad to ho

Din raat ke is aainay se

Wo aks kabhi azad to ho..

In Jheel si gehri aankhon mein..



Nazar ki pyaas bujhaney ka hosla na hua

Nazar ki pyaas bujhaney ka hosla na hua

Miley to lab bhi hilaney ka hosla na hua

Pukaarti he rahi door tak usey nazrein

Magar zuban se bulaney ka hosla na hua

Luttey kuch aise mohabbat mein hum ke ab tak

Kisi ko bhi dil mein basaney ka hosla na hua


Khud wqat usy ik din ye baat smjha de ga...!!!

Mjhse rothy ga jb wo to mjhe rula de ga,
Phir hud hi apni shararton se hansa de ga,

Udas hoty hyn to ji krta hy us k kandhy pe sar rkh dun,
Mjhe yakeen hy ik wohi mjhe hosla de ga,

Us roz mn zindagi se hi ruth jaun shayad,
Jis roz wo mjhe apne dil se bhula de ga,

Uski baton pe is qadar mjhe kyun pyar ata hy,
Ye mera pyar usy ik din mghrur bna de ga,

Qadar us ki meri trhan na koi kr paye ga,
Khud wqat usy ik din ye baat smjha de ga...!!!
 
 
 

Tujhse bichrun to meri jan nikal jati hy

Ashk girtey hyn meri sans smbhal jati hy,
De k ik dard naya sham nikal jati hy,

Tujh ko dekhon to mere dard ko milta hy sakun,
Tujhse bichrun to meri jan nikal jati hy,

Ishq kch aese mitata hyn nishan-e-hasti,
Jese har raat ujalay ko nigal jati hy,

Zakham bharta nae teri judai ka mgr,
Pher teri yad naya dard ugal jati hy,

To agr dil pe mere hath hi rakh gy,
Totti hui sans bhi kch dair thehr jati hy...!!!
 
 

Wednesday, July 27, 2011

Suna hy PANI sy sb dhul jata hy,

Suna hy PANI sy sb dhul jata hy,
tu chalo aj barish k pani sy,
Teri qismt k sary dukh dho dalon
Suna hy HAWA sb kuch sath ura kr ly jati hy
Tu chalo aj hawa ki mint kr k
Teri taqdeer ka hr gam ura dalon
Suna hai M0USM bdly to m0od b bdal jata hai
Tu chalo is haseen m0usm sy,
Tery andr ka m0usm bdal dalon
Suna hy SURAJ ki safaid r0shni mai 7 rang hoty hain
Tou chalo aj iski r0shni chura kr
Teri zindgi ka hr rang tje dy dalon
Suna hy CHAND ki chandni jis pary usy haseen bana dyti hy
Tou chalo aj issy chandi mang kr
Main tuje sb sy khubs0ort bna dalon
Suna Hy PHOOLON ki khushbu man mehka dyti hy
Tou chalo aj hr phol ki khushbu qaid kr k tery sanson mai bsa dalon
Tm soch rhy ho is sb mai mera kia FAIDATou sunu JANA
 mohabt faida ni sirf MEHBOOB ki khusi chahti hy

                        ( Dua_Gazal )

Is jag mai kesy kesy shetan bsty hain

Is jag mai kesy kesy shetan bsty hain
Mas0m chehron k pechay ab b hewan bsty hain
Makr.o.fareb mai to jesy digree hasil ki ho
Dekho to lgta hy hr trf anjan bsty hain
Pocho to hr shakhs akela hai dunya main
Httan k ilaky, shehr, qasby sb gunjan bsty hain
Bat to hoti hai man sy saf hony ki
Yn to aksr darhi walon mai b shetan bsty hain
Sath chalty huay do musafron k liye
Na jany q logon k dilon mai kia kia guman bsty hain
Bat krti ho agr wafa k tou sun0 "DUA"
Aksar hewano mai b insan bsty hain....!

                                        ( Dua_Gazal)

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte
Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Door bhaga na karo shoq gazalon ki tarah
Ham ne chaha hai tumhe chahne walon ki tarah

Shama ummid ki is dil me jlayen kaise
Apni muhbbat ka eqin dilayen kaise

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte
Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Door bhaga na karo shoq gazalon ki tarah
Ham ne chaha hai tumhe chahne walon ki tarah

Shama ummid ki is dil me jlayen kaise
Apni muhbbat ka eqin dilayen kaise

Dil me basai thi tasvir mita dena

Dil me basai thi tasvir mita dena

Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai

Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki

Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye

Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Dil me basai thi tasvir mita dena

Dil me basai thi tasvir mita dena

Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai

Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki

Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye

Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Agar maloom hota muhabbat ka anjam pahle se

Agar maloom hota muhabbat ka anjam pahle se


Na dil diya hota na jaan diya hota


Kuch tuhi mere dard ka mafhoom samajh le


Hasta hua chehra zamane ke liye hai



Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte


Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Agar maloom hota muhabbat ka anjam pahle se

Agar maloom hota muhabbat ka anjam pahle se


Na dil diya hota na jaan diya hota


Kuch tuhi mere dard ka mafhoom samajh le


Hasta hua chehra zamane ke liye hai



Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte


Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Na jane kiyon tumhare naam se itni muhabbat hai

Na jane kiyon tumhare naam se itni muhabbat hai
Kisi ka naam leti hoon to tumhara naam aata hai

Jab khayalon me nideyen palak hoti hai
Dil me paida teri yaadon ki mahak hoti hai


Tu shabo roz ka hasil hai mera saath na chod
Tu hi ham raaz ke qabil hai mera sath na chod

Ankhon se door hone ka koi gila nahi

Ankhon se door hone ka koi gila nahi
Dil ke bouhat qarib ho kuch fasila nahi

Yaad rakho to dil ke paas hoon main
bhool jao to fasile hain bouhat

Mita do naam tak mera kitabe zindagi se tum
Magar pal pal roolayegi stayegi kami meri

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!


Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!


Aaj jee chahta hai ...

Aaj jee chahta hai ...

Aj jee chahta hai
Ke bohat baarish ho
Aur
Saara paani beh jaye
Ankhoon ke aasmaan se
Ke pelkoon ke baadel
Bohat bojhel ho chuke
Aur jhappakne se tappekne lagte hain
Phir tappakta paani
To kissi ke pyas nahi bhujata
Aur mujhe to tere dil ke zameen
Sairaab kerni hai
Iss liye
Aj jee chahta hai
Ke bohet baarish ho,


shaam ussay batana . . .

shaam ussay batana . . .

a shaam ussay batana
saraab uss ki justojoo kay
nisaab uss ki arzoo kay
chaar so bikhare huay hain
kasak ruttoon ki dastaneen
har lafz mein band hain
meri ankhain saaye ki manind chup hain
magar in mein basa intzaar
ab bhi zindah hai
a shaam ussay batana
ussay apnae andar zindah rakhtay rakhtay
merae saaray jazbay jhulas geye hain
paas wafa kay bharam mein
mera sakoo jal chuka hai
meri aankhon mein basssss
raakh he raakh hai
jin mein par lamha
uss ki muhabbat ki chingari
bharakti rehti hai
a shaam ussay batana
pehlay bhi paniyon mein rehtay thay
ab bhi smndar mein ghar banaya hai
doubtey sooraj ki zard roshni say
khud ko iztiraab kay singhar say sajaya hai
dhalti shaam say lay qr
dhalti shaam tak
lahoo nay usi ka reyaz kya hai
jis say
meri , meri
har ghari abad hain
a shaam uss say poochna
kya meri saari raatain
furaaq ki rut mein basar hon gi.
aur mujahe نتانا keh
mein khud ko kaisay samjhaao
keh adhuri khwahish
honton ko khushk
aur aankhon ko num rakhti hai

a shaam ussay batana
keh iss barbaad , geelay nagar mein
mein he nahi
woh bhi rehta hai

uss say kehna

keh merae andar woh iss tarrha hai
jis tarrha ash amin watar
merae saath saath bhi
mujh say juda bhi
a shaam ussay batana . . . ,


Suna Hai Pani Se Sab Dhul Jata Hai
Tu Chalo Aj Barish Ke Pani Se
Teri Qismat Ke Sare Dukh Dho Dalon
Suna hai Hawa Sab Kuch Sath Uda Kar Le Jati Hai
Tu ChaloIs Haseen Mosam Mein
Tere Ander Ka Mosam Badal Dalon

Maine Kaha Theek Hai Na

کہتے ہیں جب گھر میں اچانک
ایسی آگ بھڑک اٹھے
جو چشمِ زدن میں
ہر یک شے کو اپنی لپیٹ میں لے لے،
آگ بجھانا مشکل ہو اور
گھر کا اثاثہ اس سے بچانا ناممکن ۔۔۔تو
ایک ہی رستہ رہ جاتا ہے
جو بچتا ہے وہی بچائو!
گھر کی سب سے قیمتی چیز ہاتھ میں لو اور
اس سے دور نکل جائو

میرے دل میں بھی ایسی ہی آگ لگی تھی
میں نے جلدی جلدی آنکھ میں تیرے بجھتے خواب سمیٹے
تیری یاد کے ٹکڑے چن کر دھیان میں رکھے
اور اس آگ میں دل کو جلتا چھوڑ کے دور نکل آیا ہوں
میں نے ٹھیک کیا ہے نا,


Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag e jaan hai to kioun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.

Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,

Uthti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,

Betaab samander koi seenay mein daba hai,

Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai


Mei kisi aur ki hon itna bata ker roi

Mei kisi aur ki hon itna bata ker roi
Woh mujhe mehandi lagay hath dikha ker roi

Mein Be-Kasoor hon Qudrat ka faisla hai yeh
Lipat k mujh se bas woh itna bata ker roi

Mujh peh aik qarb ka toofan hogaya haayal
Jab mere samne khat mere jala ker roi

Meri nafrat aur adawat pighal gai pal mei

Woh bewafa hai to kion mujhko rula ker roi

Sab shikwe aik pal mein beh gaye WASI
Jheel c aankhon mei jab aansu saja ker roi....


Tum Hathon Pay Kahi Naam Mera Likh Lena

Tum Hathon Pay Kahi Naam Mera Likh Lena
Tum Dua Mangna Matt, Hurf Hurf Dua Likh Lena


Yaad Aaye Jo Meri Khaak Bikharnay Ka Samaa
Saada Kagaz Pay Bas Ak Lafz "Hawa" Likh Lena


Yaad Nahi Rehta Tum Ko Bhi Mujhay Bhi Har Rooz
Aaj Tu Yaad Say Tum Mera Pata Likh Lena


Aks Pehlay Hi Ki Manind Abhi Baki Hay
Totnay Wala Koii Aaina Tha Likh Lena


Yaad Aaye Jo Mulaqat Guzashta Koii
Warq Jaan Peh Tum Ak Sher Mera Likh Lena


Tujh Say Barrh Kar Mera Munsib Nahi Koii Khawar
Yani Be Jurm Hi Khud Apni Saza Likh Lena



Andheri raat men shama jalana bhul jate ho

Andheri raat men shama jalana bhul jate ho
Hamari yaad aati hai bhulana bhul jate ho

hamen maloom hota hai hamaray qurb men aa kar
jo tanhai men beeti hai batana bhul jate ho

tumhari ik yehi aadat pareshan hum ko rakhti hai
nazar men aa tou jatey ho samana bhul jate ho

tumhare hath men aksar gulaabi phool dekhy han
hamri rah men aksar bichana bhul jate ho

tumhen to loat janey ki hi aksar fiker rahti hai
Mgr jab loat jatey ho to aana bhul jate ho

suna hai tum hatheli per hamara naam likhte ho
mgr jab hum se milty ho dikhana bhul jate ho


Tuesday, July 26, 2011

These clouds are like my feelings,

These clouds are like my feelings,
they gather & disappear...
the sky becomes lonely when clouds are gone...
& hey! This is how friendship is all about...

I have seen myself lonely at times too...
Rhythm of our good times & being with you...
I deeply cry when the feelings of being with you is gone...
& hey! This is how friendship is all about...

I feel strong when you guys are around...
Hitting me with pillows & making weird sound...
Those moments are gone but still my pillow is waiting for you guys to come ...
& hey! This is how friendship is all about...

I remember the times of walking with you on dark street night...
I try to run after you but someone from back holding me tight...
Those streets still exist in my town...
I never walked again on that street...
& hey! This is how friendship is all about...

I have seen growing my soul with you all...
Every day, every moment with ha ha hey hey & all...
I look back & think to get you guys back in life...
as I trust friends come back even after fights & fights of life...
& hey! This is how friendship is all about...

I have been on seashore with you my friends...
I have seen one end of ocean; wanna see the other end with you some day...
This seashore has seen me many times sitting alone ...
& hey! This is how friendship is all about...

I feel the touch of your support whenever I cried before...
My every little tear had smiled after being with you...
Today even my eyes are sad, my eyes wish to see you guys...
& hey! This is how friendship is all about...

I can do anything to be with you again...
I can make my new earth & new world without any pain...
Come back to me please & see how badly I need you friends...
Come for me... Come back for me...
I know only you friends can understand that for me what friendship is all about...

Kuch Na Kaha Us Ne Phir Aj Or Baat Badal Di

Kuch Na Kaha Us Ne Phir Aj Or Baat Badal Di.......!!!!!

Ussy Kia Pata Main Kitni Dur Se Aaya Tha, Us Ne Tu Aj Hadd Kar Di


                                                    ( Nazim Ali )

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Maazi ke ujre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Yoon tou din ke hungamon mein ehsaas magan hi rehta hai
Lekin jab soone lagte hain teri yaad buhat tarpati hai


Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharknain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoon ko chone ke fun se waqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe


Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha

Kya kahen hum kaise tujhse door ho gaye
Haalaat se, kuch khud se majboor ho gaye

Mohhabbat rula deti hai, kab ye maana tha
Apne dil ke afsaane wohi dastoor ho gaye

Manzil jise samjha bana wo meel ka pathar
Nayi manzil, naye raaste manzoor ho gaye

Hadd se barh jaaye jo ghum, deta nahin dard
Muskura rahe hain, aise hum ranjoor ho gaye

Dil tera reza reza hai, kaise sambhale tujhko
Khudaya humse kaise yeh qusoor ho gaye !!!
 
 
 

Na koi khuwaab na koi saheli thi...

Na koi khuwaab na koi saheli thi... 
is muhabbat mein, mein akeli thi...

ishq mein tum khaan ke sache the...
jo azziyat thi hum ne jheli thi...

yaad ab kuchh nahin raha lekin...
aik darya tha ya haweli thi...

jis ne uljha ke rakh diya dil ko...
woh muhabbat thi ya paheli thi...

mein zara si bhi kam wafa kerti...
tum ne to meri jaan leli thi...

waqt ke saanp kha gaye us ko...
mere aangan mein aik chanbeli thi...

is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...
kitni roshan meri hatheli thi


apanii aag ko zindaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

apanii aag ko zindaa rakhanaa kitanaa mushkil hai
patthar beech aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

kitanaa aasaaN hai tasviir banaanaa auron kii
Khud ko pas-e-aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

tumane mandir dekhe honge ye meraa aaNgan hai
ek diyaa bhii jaltaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

chullu mein ho dard kaa dariyaa dhyaan mein usake hont
yuuN bhii Khud ko pyaasaa rakhanaa kitanaa mushkil hai


guftagoo ke lamhon mein

guftagoo ke lamhon mein
deikh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...

jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...

kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat tor dete hain...


dard apanata hai paraae kaun

dard apanata hai paraae kaun
kaun sunataa hai aur sunaae kaun

kaun doharaae vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaae kaun

vo jo apne hain kyaa vo apne hain
kaun dukh jhele aazamaae kaun

ab sukun hai to bhuulane mein hai
lekin us shakhs ko bhulaae kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aae kaun


samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe

samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu barhey divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

Monday, July 25, 2011

nighaho'n ke samandar ka, thikana chahte he'n hum

nighaho'n ke samandar ka, thikana chahte he'n hum
hume'n tum se muhabat hai, batana chahte he'n hum

hume'n achi nahi lagti, kisi mosum ki shadabi
tumhe'n bus apni saanso'n me'n, basana chahte he'n hum

hamara ghar to roshan hai, hamare naam se lekin
tumhare naam se jivan, sajana chahte he'n hum

hume'n har haal me'n tum se aaqidat or muhabat hai
tumhare pas aane ka bahana chahte he'n hum,



AB USS KAY DAR SAY MEIN UTHA MALAL KOI NA THA

AB USS KAY DAR SAY MEIN UTHA MALAL KOI NA THA
KAY MERI JHOLI MEIN BAQI SAWAL KOI NA THA

BAHAR AAI TOU APNAY SIWAYE ZANDAAN KAY
TAMMAM SHEHAR MEIN PERISHAAN HAAL KOI NA THA

KAHAN SAY LAA KAY BICHAIN TUMHARI RAH MEIN PHOOL
KAY DAAL DAAL TOU KIYA KHAAL KHAAL KOI NA THA

WOH DIN HI THEEK THAY JUB DIL MAIN RUTH BADALNAY KA
GUMAAN O KHUWAB YAQEEN O KHNAYAL KOI NA THA

YAQEEN KAR KAY TERI AANKH UTHNAY SAY PEHLAY
MERI NIGAH KAY SHISHAY MEIN JAAL KOI NA THA


HOWA JO YUN TOU YEH KHOOBI TERAY HUNAR KI THI
MERI WAFAOON MEIN MERA KAMAAL KOI NA THA


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...