Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, July 26, 2011

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Maazi ke ujre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Yoon tou din ke hungamon mein ehsaas magan hi rehta hai
Lekin jab soone lagte hain teri yaad buhat tarpati hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...