Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, July 26, 2011

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharknain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoon ko chone ke fun se waqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...