Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 27, 2011

shaam ussay batana . . .

shaam ussay batana . . .

a shaam ussay batana
saraab uss ki justojoo kay
nisaab uss ki arzoo kay
chaar so bikhare huay hain
kasak ruttoon ki dastaneen
har lafz mein band hain
meri ankhain saaye ki manind chup hain
magar in mein basa intzaar
ab bhi zindah hai
a shaam ussay batana
ussay apnae andar zindah rakhtay rakhtay
merae saaray jazbay jhulas geye hain
paas wafa kay bharam mein
mera sakoo jal chuka hai
meri aankhon mein basssss
raakh he raakh hai
jin mein par lamha
uss ki muhabbat ki chingari
bharakti rehti hai
a shaam ussay batana
pehlay bhi paniyon mein rehtay thay
ab bhi smndar mein ghar banaya hai
doubtey sooraj ki zard roshni say
khud ko iztiraab kay singhar say sajaya hai
dhalti shaam say lay qr
dhalti shaam tak
lahoo nay usi ka reyaz kya hai
jis say
meri , meri
har ghari abad hain
a shaam uss say poochna
kya meri saari raatain
furaaq ki rut mein basar hon gi.
aur mujahe نتانا keh
mein khud ko kaisay samjhaao
keh adhuri khwahish
honton ko khushk
aur aankhon ko num rakhti hai

a shaam ussay batana
keh iss barbaad , geelay nagar mein
mein he nahi
woh bhi rehta hai

uss say kehna

keh merae andar woh iss tarrha hai
jis tarrha ash amin watar
merae saath saath bhi
mujh say juda bhi
a shaam ussay batana . . . ,


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...