Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, July 27, 2011

Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag e jaan hai to kioun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.

Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,

Uthti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,

Betaab samander koi seenay mein daba hai,

Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai


1 comment:

  1. Thank you for posting this ghazal, as I have been searching for it for past 14 years. Ghulam Abbas sung it for radio, I love this one bt I am not able to find it in his voice.

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...