Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 10, 2011

Roshni ki dhaar per rakhi kahani aur dukh

Roshni ki dhaar per rakhi kahani aur dukh,
Aankh se behta howa khamosh paani aur dukh,

Mere kamre main usi tarteeb se rakhe hoye,
Phool, khat, waade, dilaase aik jawani aur dukh,

Aik dooje se bicharr ker umr-bhar rote rahe,
Raat, sehra, khush patte, aik raani aur dukh,

Ab mere lafzon main wo pehli si kefiyat nahi,
Daal ab jhouli main teri maherbani aur dukh,

Raat sehra main kisi ne baansuri ki hook per,
Rakh di phir roti hoi yaaden purani aur dukh...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...