Kuch aese hum ne kharaabe basaye shahron main,
Jo dasht wale thay wo bhi uthh aaye shahron main,
Humari saada-lohi dekhiye k dhoondhte hain,
Hum apne dais ki baaten paraye shahron main,
Kuch is tarah se her ik baam-o-dar ko dekhte hain,
Zamaane baad koi jese aaye shahron main,
Qadm qadm pe hoye talkh tajarbe phir bhi,
Humen hayaat k gham khainch laye shahron main,
Hawa na do k ye jungle ki aag hai yaaron,
Ajab nahi hai k ager phail jaaye shahron main,
Faraz hum wo ghazalaan_e_dasht-o-sehra hain,
Aseer ker k jinhen log laaye shahron main...!!!

No comments:
Post a Comment