Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 14, 2011

Hum Buray Log To Buray Hain


Hum Buray Log To Buray Hain
Hum Rasm e Zamana Kya Jaanein
Kahin Waaiz Hain Kahin Naaseh Hain
Hum Pyar Jatana Kya Jaanein

Tum Ishq k Hoge Sodaii
Par Ishq k Maani Kya Jano
Izhar e Tamanna Karnay Ko
Ya Haath Pakar Kar Chalney Ko
Tum Ishq k Maani Pehnao
Tum Zaat Pe Marney Walay Ho
Tum Ishq k Maani Kya Jano
Hum Yun To Azal Se Buray Hain
Par Ishq Ka Rutba Pehchanein
"Mujhay Tum Se Muhabbat Hay Sachi"
Hum Log Yeh Kehty Dartay Hain

Hum Rasm e Muhabbat Se Waqif
Aadab e Muhabbat Kartay Hain
Kehnay Ko To Hum b Keh Guzrein
Par Qaul Nibhayein Ge Kaisy?
Phir Khoon e Jigar Peena Hoga
Sehrao Mein Jeena Hoga
Hum Kachay Gharray Se Larzeeda
Hum Aag Mein Kood Nahi Saktay
Hum Jalti Rait Se KhaufZada
Hum Nehrein Khod Nahi Saktay
Ik Roz Kaha Tha Logoon Se
Mujhay Sab Se Pyari Tum Lagti Ho
Vo Qaul Nibhana DoBhar Hay
Naye Qaul o Qarar Karein Kaisy?
Tum Ishq k Hoge Sodaii
Par Ishq k Maani Kya Jano
Hum Log To Sada k Buray Hain
Par Ishq Ka Rutba Pehchanein



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...