Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 15, 2011

Agar Yeh Jaanna Chaho

Agar Yeh Jaanna Chaho,
Koi Kaise Bikharta Hai?
Chaman Mein Ja K Khizaan Mein,
...
Kabhi Patton Ko Dekho Tum,
Ya Phir Ek Aainaa Le Lo,
Usey Pathar Pe De Maaro,
Agar Mushkil Ho Tum Ko To,
Kisi Khoobsurat Phool Ko Lena,
Use Hawa K Dosh Pe Rakhna,
To Phir Tum Jaan Jao Ge,
Koi Kaise Bikharta Hai?
Agar Yeh B Na Ho Tum Se,
To Mere Paas Aa Jaana,
Mera Deedar Kar Lena,
Khabar Yeh Ho Hi Jaye Gi,
Koi Kaise Bikharta Hai....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...