Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 15, 2011

Na koi soch lafz banti hay

Na koi soch lafz banti hay
na koi khwab yaad rehta hay
Na koi baat guzray waqton ki
dil ko gheray rehti hay
Na mohabbat sajhai deti hay
Na mohabbat dikhae deti hay
Na mohabbat sunai deti hay
Na koi ashq dil main girta hay
na koi dard muskarata hay
aur judai ki har aziyat bhi
aik kitabi si baat lagti hay
ik ajab bekali c rehti hay
Dil ki baton main dil nahe lagta
sham ka lamss kuch nahe kehta
Chaand raton main dil nahe lagta
qisa-e-wasl likh nahe sakte
Hijr ki baat keh nahe sakte
Ishq say dor ho ahe sakte
Ishq k sath reh nahe sakte
Es tarha bebasi k alam may
sach kahon to main esay mosam main
Khas chehra bhi aam lagta hay
shair kehna bhi kalm lagta hay..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...