Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 18, 2011

Kabhi Iss Nagar Tujhe Dekhna

Kabhi Iss Nagar Tujhe Dekhna
Kabhi Uss Nagar Tujhe Dhondna
Kabhi Raat Bar Tujhe Sochna
Kabhi Raat Bar Tujhe Dhondna
Mujhe Ja Baja Teri Justuju
Tujhe Dhondta Hon Mein Koo Ba Koo
Kahan Khul Saka Tere Rubaru
Mera Iss Qadar Tujhe Dhondna
Mera Khawb Tha Ke Khayal Tha
Wo Aaroj Tha Ke Zawal Tha
Kabhi Arash Tujhe Dekhna
Kabhi Farsh Per Tujhe Dhondna
Yahan Her Kisi Se Hi Ber Hai
Tera Sheher Qariya Ber Hai
Yahan Sehel Bhi Nahi Koi
Mere Be Khabar Tujhe Dhondna
Teri Yaad Aayi To Ro Diya
Jo Tu Mil Gaya Tujhe Kho Diya
Mere Silsile Bhi Ajeeb Hain
Tujhe Chor Kar Tujhe Dhondna
Yeh Meri Ghazal Ka Kamal Hai
Ke Teri Nazar Ka Jamal Hai
Tujhe Sheher Sheher Mein Sochna
Sare Bam-O-Dare Tujhe Dhondna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...