Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Yaad rakheen hameen duaoon main

Yaad rakheen hameen duaoon main
Asi khubi hai sirf maoon main
Khait,nadi,khunwan,rahar chashmain
Ab yeh nahmat naheen hai gaoun main
Ham ko julsae gi ghamon ki dhuop
Gar na bathe wafa ki chaoun main
Saans yun bar bar leti houn
Us ki khushbo rachi hawaoon main
Kisi manzel pe bhi naheen rukti
Kaisa chakar para hai paoun main
Tum wafa ka na tazakra karna
Ab to yeh zikar hai kathaoon main
Mehfelen muj bin adhori hain
Aa gayi main ghazel ki choun main
Aankhon se ho na pae gi barsaat
Kuch naheen lutf in ghataoon main
Sab se darte hain masawa *****
Bat gae kitne ham KHUDAOON main
Ab mile gi kahan mujhye manzel
Rah gai ghar k main dashoon main
MOLA "khanam"pe ho nigah_e_khaas
Yeh duaa hai meri duaoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...