Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Chaha jana tu faqat ik adat hai

Chaha jana tu faqat ik adat hai
Jab buhat hadd se barh jaye muhabbat tau
hasil sirf mehroomiyan aati hain
faqat itni si hoti hai muhabbat
Koi iqrar-e-wafa karta hai
dil yaad usi ko karta hai
lamha lamha beqarariyan barhti hain
wisl ke lamhe waa hote hain
aur phir ik taraf berukhi ka saman hota hai
dil toot-ta hai ankhon se ashk rawan hote hain
faqat itni si hoti hai muhabbat
kab koi umer bhar chahta hai kisi ko
har ik lamhe mein hasil ruswayian ati hain
mehboob ko faqat hasil tanhayian ati hain
phir yeh baat samjh mein ati hai
faqat itni si hoti hai muhabbat
woh jiske liye hum raton ki neendein ganwa dete hain
woh jise hum khud se barh ker chahte hain
woh woh ik lamhe mein aise ajnabi banta hai
dekh kar khud ko bhi yeh guman hota hai
kahin yeh waqai ajnabi tau nahi
phir kahin jaker yeh baat samjh mein ati hai
faqat itni si hoti hai muhabbat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...