Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, September 12, 2013

Khud hi se nafrat si



Nazim Kiss Tarha K Ho Gaye 

Tanha Rehte Hoye Hum 

Aahista Aahista Shayad Ab Tu 

Zahani Mareez Ho Gaye Hain Hum

Kab Hai Yahan Asan 

Manzil Ko Paa Lena Nazim

Tujh Se Tu Mile Nehin 

Mgr 





Kitni Mushkilon Mein Par Gaye Hain Hum

Ajeeb Log Hain Or Hain Un Ki 

Tarha Tarha Ki Soch

Kiss Kiss Ko Sumjhaye 

K Bure Nehin Bass Hain Majbor Hum

Khud Hi Se Nafrat Si 

Hoti Jati Hai Nazim Jee

Tanhai Humein Raas Hai 

Ya Tanhaiyon Ka Jewan Hain Hum

Ab Tu Sanson Ke Chalne Se Bi 

Dar Jata Hon Nazim 

Itne Dokhe Khaye Hain K

Phir Bi Nadan Hain Hum

Nazim Mein Gilla Nehin Krta 

Mgr Shikayatein Tu Hain Boht

Milta Tou Tu Tujhe Dekhate 

Kitne Zakhami Ho Gaye Hain Hum 

( Nazim Ali )




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...