Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, July 2, 2013

Agar Mehsoos Kar Pao...

Meri Khamoshyon Ko Tum Koi MayeNay Nahi Dena,
Judai Ki Sabhi Batein Meri Aankhon Mein Parh Lena,

Meri Is Muskurahat Mein,
Agar Mehsoos Kar Pao...
To Mere Aansu'on Ki Tum Nami Mehsoos Kar Lena,
Kahin Jo Reh Gai Hai Woh Kami Mehsoos Kar Lena,

Meri Sochein !
Mere Alfaz Ka Jab Roop Leti Hain,
Tumhara Aks Banta Hai 
Meri Neendon Mein Jab Jab
Rat Jago Ke Deep Jaltey Hain,
Tumhara Zikar Hota Hai 
Tumhari Yaad Mazi Ke Dareechay Khol Deiti Hai,
Tumhari Shabnami Aahat Mujh Se Yeh Bol Deti Hai,

Kaha Tha Na !
Hamare Darmiyan Yeh Faslay Kismat Ne Likhey Hain,
Aur Is Kismat Ke Likhey Ko;
Badal Tum Bhi Nahi Sakti.. Badal Main Bhi Nahi Sakta,
Magar Mushkil Yahi Hai... Hijr Ke Pur-Paich Raston Per,
Sambhal Tum Bhi Nahi Sakti.. Sambhal Main Bhi Nahi Sakta,
To Behtar Hai Ke Hum Ek Doosrey Ki Yaad Ke Hamrah Ho Jayen,
Ke Ab Ke Is Mohabbat Se;
Nikal Tum Bhi Nahi Sakti.. Nikal Main Bhi Nahi Sakta !

Suno Janaaa !
Tumhari Shabnami Aahat Mere Andar Dharakti Hai,
Magar Jab Khamoshi Se Tum Koi MayeNey Nahi Leti,
To Yeh Dil Toot Jata Hai..
Mere Andar Kaheen Per Kuch Toot Jata Hai  



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...